Posts

Showing posts with the label Mohsin Naqvi

Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hon Abhi

Image
Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hon Abhi Phir Se Maqtal Ko Sanwaro K Main Zinda Hon Abhi Ye Shab e Hijar To Sathi Hai Meri Barson Se Jao So Jao Sitaro K Main Zinda Hon Abhi Ye Preshan Se Gaisu Dekhe Nahi Jate Apni Zulfon Ko Sanwaro K Main Zinda Hon Abhi Lakh Mojon Mein Ghera Hon Abhi Dooba To Nahi Mujh Ko Sahil Se Pukaro K Main Zinda Hon Abhi Qabar Se Aaj Bhi MOHSIN Ki Aati Hai Sada Tum Kahan Ho Mere Yaro K Main Zinda Hon Abhi

Yon mere dil k barabar tera ghum aaya hai

Image
Yon mere dil k barabar tera ghum aaya hai Jaise sheshay k mukabil koi pathar jana

Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein

Image
Mata e Shaam e Safar Bastiyon Mein Chhor Aaye Bujhe Charaagh Hum Apne Gharon Mein Chhor Aaye Ghire Hain Lashkar e Aada Mein Ab Ye Sochte Hain Hum Apne Teer Toh Apni Safoon Mein Chhor Aaye Hum Apni Darbadari Ke Mushahidey Aksar Naseehaton Ki Tarah Kamsino Mein Chhor Aaye Bichhar Ke Tujh se Chale Hum Toh Ab Ke Youn Bhi Hua Ki Teri Yaad Kahin Raaston Mein Chhor Aaye Hawa Hi Din Mein Parinde Udaaye Phirti Hai Hawa Hi Phir Se Unhen Ghonslon Mein Chhor Aaye Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein Hum Ahl e Dil Ko Bare Hoslon Mein Chhor Aaye Urenge Kya Woh Parinde Jo Apne Rizq Samait Safar Ka Shauq Bhi Toote Paron Mein Chhor Aaye Sada Sukhi Rahein Chehre Woh Hum Jinhe Mohsin Bujhe Gharon ki Khuli Khirkiyon Mein Chhor Aaye

Buhat Aziz Tha Shayad Wo Iss Liye Mohsin

Image
Biyaan Har Kisi Se Hijr o Wisal Karte Ho Kyun Apne Sheher Mein Jina Muhaal Karte Ho Bichar K Bhala Mile Hain Musafir Bhi Kyun Apne Ap Ko Yun Hi Nidhal Karte Ho Suna Hai Wo Bhi Tumhe Pochta Hai Asey Hi Tum Us K Bare Mein Jase Sawal Karte Ho Wo Aashnai Usey Yaad Hi Naa Ho Shayad Wo Jis K Naam Pe Sab Mah o Saal Karte Ho Buhat Aziz Tha Shayad Wo Iss Liye Mohsin Bicharne Wale Ka Ab Tak Milal Karte Ho

Rutha To Shehar e Khwab Ko Gharat Bhi Kar Gaya

Image
Rutha To Shehar e Khwab Ko Gharat Bhi Kar Gaya Phr Muskara K Taza Sharrarat Bhi Kar Gaya Shayad Ussay Aziz Thin Aankhain Meri Buhat Wo Mere Naam Apni Bassarat Bhi Kar Gaya Mun Zoor Aandhiyon Ki Hathaile Pe Ik Charagh Paida Mere Lahu Mein Harrarat Bhi Kar Gaya Bosida Badban Ka Tukra Hawa K Sath Tofaan Mein Kashtiyon Ki Safarish Bhi Kar Gaya Dil Ka Nagar Ujarnay Wala Huner Shanas  Tameer Hoslon Ki Amarat Bhi Kar Gaya Sab Ahl e Shehar Uthatay Thy Jis Pe Ungliyan Wo Shehar Bhar Ko Waja e Zayarat Bhi Kar Gaya Mohsin Ye Dil K Us Se Bicharta Na Tha Kabhi Aaj Us Ko Bholnay Ki Jissarat Bhi Kar Gaya

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai

Image
Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai Mujh Ko Mere Hi Khayalon Mein Sadaa Deta Hai Wo Mera Kon Hai Maloom Nahi Hai Lekin Jub Bhi Milta Hai To Pehlu Mein Jaga Deta Hai Main Jo Andar Se Kabhi Toot Ke Bikhron Wo Mujh Ko Thamne K Liye Hath Barha Deta Hai Main Jo Tanha Kabhi Chupkay Se Bhi Rona Chahon To Dil Ke Darwaze Ki Zanjeer Hila Deta Hai us Ki Qurbat Mein Hai Kya Baat Na Jaanay Ek Lamhay K Lye Sadiyon Ko Bhula Deta Hai ??? ???? ?? ???? ???? ??? ???? ?? ??? ?? ???? ?? ?????? ??? ??? ???? ??  ?? ???? ??? ?? ????? ???? ?? ????  ?? ??? ???? ?? ?? ???? ??? ??? ???? ?? ??? ?? ???? ?? ???? ??? ?? ?????? ?? ???? ?????? ?? ??? ???? ???? ???? ??  ??? ?? ???? ???? ???? ?? ??? ???? ?????  ?? ?? ?? ?????? ?? ????? ??? ???? ??  ?? ?? ???? ??? ?? ??? ??? ?? ???? ???? ??? ???? ?? ??? ????? ?? ???? ???? ??

Har pal gham e Hussain mein ye Aankh nam rahe

Image
Mohsin is hi Dua se hai Aghaz sale no Har pal gham e Hussain mein ye Aankh nam rahe

Main chahne walon ko mukhatib nahi karta

Image
Main chahne walon ko mukhatib nahi karta Aur tark e taaluq ki mein wazahat nahi karta Wo apni jafason pe nadim nahi hota Mein apni wafason ki tijarat nahi karta Khushbu kisi tash�heer ki mohtaaj nahi hoti Sacha hon magar apni waqalat nahi karta Ehsas ki sooli pe latak jata hon aksar Mein jabr e musalsal ki shikayat nahi karta Mein azmat e insaan ka qayal to hoon Mohsin Lekin kabhi bandon ki ibadat nahi karta

Ye sakhawat mere shajray mein likhi hai pehle

Image
Mohsin Naqvi Poetry Ghazals Shayari Love Sad Islamic Poetry Mohsin Naqvi Urdu Poetry SMS Mohsin Naqvi Best Ghazals Shayari in Urdu Pictures Mohsin Naqvi Shaheed Urdu Poetry Pyaas bakhshi hai to phir ajar bhi khul kar dena Abr mangay meri dharti to samandar dena Ye sakhawat mere shajray mein likhi hai pehle Apne dushman ko duaen tah e khanjar dena Mere khaliq meri ankhon ko jo nam rakhta hai Uss k sehraon ko daryaon k tewar dena Shehr walo kabhi aezaaz jo taqseem karo Mujhe sheeshay ka libada usay pathar dena Yaad aye jo mere baad sanwarna uss ko Aey shab e hijr usay chaand ka jhoomar dena Qarb Mohsin ki musafar k khudawand e jaleel Khaak zadon ko sada bakht e sikandar dena