Urdu Ghazal Poetry, Hawa ki zad mein jo aa gaye the woh aasheyany bikharty dekhy,
Hawa ki zad mein jo aa gaye the woh aasheyany bikharty dekhy Kahen pe aoraq reza reza kahen pe alfaz marty dekhy Yon raz-e-hasti samjh mein aya fasana jan ka silsala bhi Jo khasta peron ki tehneyon se khizan mein paty bicharty dekhy Guzaar do zabt ki sabelon pe shidat gham ki talkheyon ko Yeh zakham kya waqt ke saharon pe sookhy darya bhi bharty dekhy Tumhara mera to silsala bas zara si mudat ka silsala hai Woh log kesy the jo mohabbat mein had se aagy guzarty dekhy Yeh qismaton ka fatoor hai jo azal se thehra hoa hai ab tak Hein sabza zaron mein pair aisy keh jin se panchhi bhi darty dekhy Tery badalny pe kya gila jab mujhy kabhi tum mily nahin ho Main ne sar-e-dhoop rah mein aksar badan se saey bicharty dekhy Yeh sal-e-no phir azeeyaton ka piyam laya hai mery ghar mein Keh rat kamry ki seehreyon jo main ne saey utarty dekhy Khuda kary khair ho Aqeel ab main jag betha hon jis se dar kar Woh khawab kya tha keh aag ki zad mein shehr sary jalty dekhy.