Posts

Showing posts with the label Rahat Indori

Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya

Image
Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya Payroon mein zanjireen dali hathon mein khaskol diya Jab bhi ko inaam mila hai mera naam bhi bhool gaye Jab bhi koi ilzaam laga hai mujh par laakar dhol diya Haath ke chhale paaon ke kaante aankh main aansoo dil ka dard Tune mujhko pyaar main jo bhi tohfa diya anmol diya Ab ghum aayen khushiyaan aayen maut aaye ya tu aaye Main ne to bas aahat paayi aur darwaza khol diya Jitna khushi se rishtaa mera utna ghum se naata hai Maine ek mizaan main apna saara dukh sukh tol diya

Apne sannaton mein dooba ek goonga aadmi

Image
Apne sannaton mein dooba ek goonga aadmi Dil ki masjid mein azaan dekar bilaali ho gaya

Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna

Image
Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna Teergi shaher se rukhsat nahin hone wali Saath chalna hai to talwaar uttha meri tarah Mujhse buzdil ki himaayat nahin hone wali Ab k jo faisla hoga wo yahin par hoga Hum se ab doosri hijrat nahin hone wali

Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena

Image
Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena Haath jab usse milana to dabaa bhi dena Wese is khat mein koi baat nahi hai phir bhi Ahtiyatan isay parh lo to jala bhi dena

Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska

Image
Kabhi akele mein milkar jhanjhor dunga use Jahan jahan se wo toota hai, jorr dunga use Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska Iraada maine kiya tha ke chor dunga use Paseene baantta phirta hai har taraf sooraj Kabhi jo haath laga to nichor dunga use Bacha ke rakhta hai khud ko wo mujhse sheesha badan Use ye darr hai ke main tor porr dunga use Maza chakha ke hi maana hun main bhi duniya ko Samajh rahi thi ke aise hi chhor dunga use

Kabhi dimag kabhi dil kabhi nazar mein raho

Image
Kabhi dimag kabhi dil kabhi nazar mein raho Ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho

To phir yakeen se aage bharam nikal jaye

Image
To phir yakeen se aage bharam nikal jaye Hawa na ho to charagon ka dum nikal jaye Hum ahl e dil ko hiqaarat se dekhne wale Khuda kare teri gardan ka kham nikal jaye Mujhe to maar hi daale ga khaalipan mera Jo dil se teri judaai ka gam nikal jaye

Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage

Image
Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage Charaagh haath utha kar duayein karne lage Saleeka jin ko sikhaya tha humne chalne ka Wo log aaj humein daayen baayen karne lage Lahu-luhaan pada tha zami par ek suraj Parinde apne paro se hawaayein karne lage Zami par aa gaye aankhon se toot kar aansu Buri khabar hai farishtey khatayein karne lage Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar Ye sab mareez hain jo ab dawayein karne lage Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi Safedposh uthe kaayein kaayein karne lage

Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye

Image
Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye Mere Allah meri khaak thikane lag jaye Ghere rehte hain kai khwaab meri aankho ko Kaash kuch der mujhe neend bhi aane lag jaye

Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai

Image
Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai Hausla hai to nadi paar bhi kar sakta hai Jurm khud karna aur ilzaam kisi par dharna Ye naya nuskha hai bimaar bhi kar sakta hai Ek huqumat hai jo inaam bhi de sakti hai Ek kalandar hai jo inkaar bhi kar sakta hai Dhundta phirta hai tu der-o-haram mein jisko Moond le aankh to deedaar bhi kar sakta hai Jaagte rahiye ki awaaz lagaane wala Lootne walo ko hoshiyaar bhi kar sakta hai

Jaa k ye keh de koi sholon se chingaari se

Image
Jaa k ye keh de koi sholon se chingaari se Phool is baar khile hain badi taiyari se Baadshahon se bhi phenke hue sikke na liye Humne khairaat bhi maangi hai to khuddari se

Mere khuloos ki gehrayi se nahi milte

Image
Mere khuloos ki gehrayi se nahi milte Ye jhuthe log hain sachchai se nahi milte Mohabbaton ka sabak de rahe hain duniya ko Jo Eid apne sagay bhai se nahi milte

Jab tak tumhaare haath mere haath mein rahe

Image
Suraj sitaare chaand mere sath me rahe Jab tak tumhaare haath mere haath mein rahe Shaakhon se toot jaayein wo patte nahi hai hum Aandhi se koi keh de ke aukaat mein rahe

Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna

Image
Chaand ek toota hua tukra mere jaam ka hai Ye mera kaul nahi hazrat e khayyaam ka hai Hum se pucho ke ghazal maangti hai kitna lahu Sab samajhte hain ye dhanda bare aaraam ka hai Ab teri baari hai aayine bacha le apne Mere haatho mein jo pathhar hai tere naam ka hai Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna Tu samandar hai to hoga mere kis kaam ka hai

Wo dor jisse hum aakaash choom sakte the

Image
Puraana karz chukaane mein kharch kar daali Tamaam umr kamaane mein kharch kar daali Wo dor jisse hum aakaash choom sakte the Use patang udaane mein kharch kar daali

Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga

Image
Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga Jo nahin hoga wo akhbaar mein aa jaye ga Chor uchakkon ki karo qadar ke maloom nahin Kon kab kon si sarkaar mein aa jaye ga Apne saahil se ye angaare hata lo Warna  saara paani meri talwaar mein aa jayega

Door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya

Image
Rahat Indori Urdu Hindi Poetry Archives Collection of Rahat Indori Shayari and Ghazals Jaagne ki bhi jagaane ki bhi aadat ho jaaye Kaash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaaye Door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya Phir na kehna jo amaanat mein khayaanat ho jaaye Jugnuon tum ko naye chaand ugaane honge Is se pehle ke andheron ki huqumat ho jaaye Ukhr parte hain meri qabr ke patthar har din Tum kisi din jo chali aao marammat ho jaaye

Kuch aur kaam use yaad hi nahi shayad

Image
Ghazals of Rahat Indori Rahat Indori Poetry Poems Ghazals Love Sad Mera zameer mera aitbaar bolta hai Meri zabaan se parvardigaar bolta hai Teri zabaan katarna bahut zaruri hai Tujhe maraz hai ke tu baar-baar bolta hai Kuch aur kaam use yaad hi nahi shayad Magar wo jhooth bahut shaandaar bolta hai Khuda ne uske labon par mithaas rakh di hai Wo bolta hai to jaise sitaar bolta hai

Sula chuki thi ye duniya thapak thapak k mujhe

Image
Rahat Indori Shayari Urdu Shayari Hindi Shayari Sher o Shaeri SMS Sula chuki thi ye duniya thapak thapak k mujhe Jagaa diya teri paazeb ne khanak k mujhe Koi bataaye main iska kya ilaaj karun Pareshaan karta hai ye dil dhadak dhadak ke mujhe Taalluqaat mein kaise daraar parti hai Bata diya kisi kamzarf ne chalak ke mujhe Bahut si nazrein hamaari taraf hain mehfil mein Ishaara kar diya usne zara sarak ke mujhe

Aag ke paas kabhi mom ko laakar dekhun

Image
Collection of Rahat Indori Urdu Shayari and Hindi Ghazals Aag ke paas kabhi mom ko laakar dekhun Ho ijaazat to tujhe haath laga kar dekhun Dil ka mandir bara viraan nazar aata hai Sochta hoon teri tasveer laga kar dekhun