Posts

Showing posts with the label urdu ghazal

1920 Evil Returns Poetry

Image
Har waqt Har kahin hai... bas wo yahin, nahe hai... Dar sai dara dara hai, Usko yaqeen nahe hai. Wo chahta hai apna har gham kahin chop aana, Par raah mai khara hai guzra hua zamana, Khud hai wo baikhudi mai Par janti hai wo os ko, Paihchan khud ki gum hai, paihchanti hai os ko, os ny bhi koh deya hai khud ko, to kya hua hai aik ajeeb sa Apna ab os ko mil gaya hai... Aihsaas aisa kyun hai, Kya mujh mai khaas sa hai, Kya mairy khali pan mai, Koi aks dikh raha hai....

Urdu Shayari Picture Gif

Image
Gif Poetry Pictures: Mein apni zaat mai neelam ho raha hun Qateel . . Gham-e-Hayat sai kaih do khareed layai mujhai

Poetry Gif Picture

Image
Sad Urdu Poetry Gif Picture: Dil totnai sai thore se takleef to hove . . laiken tamaam umar ko aaram ho gaya

Urdu Shayari Gif Picture

Image
Gif Urdu Poetry Picture: Daikho yai kese aur ki aankhain hai kaih maire . . Daikho yai kese aur ka chaihra hai kai tum ho?

Urdu Poetry Gif Picture

Image
Best Poetry : Jis ko khush raihnai kai samaan mysar sab ho. . . Us ko khush raihna bhi ayai yai zaroore nahe

Best Shayari Picture Gif

Image
Sad Urdu Poetry : Rasm Dunya to kese tor nibhatai jao . . Dil nahe miltai bhi to hath milatai jao

Urdu Ghazal Poetry, Hawa ki zad mein jo aa gaye the woh aasheyany bikharty dekhy,

Image
Hawa ki zad mein jo aa gaye the woh aasheyany bikharty dekhy Kahen pe aoraq reza reza kahen pe alfaz marty dekhy Yon raz-e-hasti samjh mein aya fasana jan ka silsala bhi Jo khasta peron ki tehneyon se khizan mein paty bicharty dekhy Guzaar do zabt ki sabelon pe shidat gham ki talkheyon ko Yeh zakham kya waqt ke saharon pe sookhy darya bhi bharty dekhy Tumhara mera to silsala bas zara si mudat ka silsala hai Woh log kesy the jo mohabbat mein had se aagy guzarty dekhy Yeh qismaton ka fatoor hai jo azal se thehra hoa hai ab tak Hein sabza zaron mein pair aisy keh jin se panchhi bhi darty dekhy Tery badalny pe kya gila jab mujhy kabhi tum mily nahin ho Main ne sar-e-dhoop rah mein aksar badan se saey bicharty dekhy Yeh sal-e-no phir azeeyaton ka piyam laya hai mery ghar mein Keh rat kamry ki seehreyon jo main ne saey utarty dekhy Khuda kary khair ho Aqeel ab main jag betha hon jis se dar kar Woh khawab kya tha keh aag ki zad mein shehr sary jalty dekhy.

Urdu Ghazal, Bas Meri janib do qadam kar ke chaly jana,

Image
Bas Meri janib do qadam kar ke chaly jana Palat kar dekhna phir aankh nam kar ke chaly jana Kisi ko rokna to door sada tak nah de sakon Meri is bebasi ka tum bhi gham kar ke chaly jana Yahan ab koi nah aye yeh andheron ki basti hai Mery dilbar mery dil par raqm kr ke chaly jana Faqt ik bewafai hi nahin keh ab talak mujh se So mery sath tum yeh bhi sitm kar ke chaly jana Abhi tak phir milen ge keh nahin paye ho tum mujh se Meri jaan yeh hai rukhsat ki rasm kar ke chaly jana Jo kehti hein keh main tum se dobara mil nah pain gi Lakeeren woh mery hathon se kam kar ke chaly jana Tumhary baad to jeeny ka tasawar nahin baqi Dafn tum bhi mujhy meri qasm kar ke chaly jana.

Dil Ki Baat,

Image
Dil ki baat labon par la kar ab tak ham dukh sehte hain Ham ne suna tha is basti mein dil wale bi rehte hain, Beet gya sawan ka mahena mosam ne nazrain badlen Lekin in payasi aankhon se ab tak aansoo behte hain, Aik hmain awara kehna koi bara ilzam nahi Dunya wale dil walon ko aur bohat kuch kehte hain, Jin ki khatar shehr bi chora jin ke liye badnaam hoye Aaj wohi ham se begane begane se rehte hain, Wo jo abi is rah guzar se chak greban guzra tha Us awara dewane ko jalib jalib kehte hain. Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,