Mujhe Dost Ban Ke Dagha Na De
Shakeel Badayuni Poetry Shakeel Badayuni Shayari Urdu Shayari Hindi Shayari Sher Ghazals of Shakeel Badayuni shakeel badayuni books shakeel badayuni ghazal lyrics shakeel badayuni naat shakeel badayuni biography in hindi shakeel badayuni gazals shakeel badayuni hindi songs shakeel badayuni shayari in hindi shakeel badayuni ghazals in hindi Mere hum nafass mere hum nawa mujhe dost ban ke dagha na de Main hoon dard e ishq se jaan ba lab mujhe zindagi ki dua na de Main gham e jahan se nidhaal ke saraapa huzn o malaal hoon Jo likhe hain mere naseeb main woh alam kisi ko khuda na de Na yeh zindagi meri zindagi na yeh dastaan meri daastan Main khayal o veham se door hoon Mujhe aaj koi sadaa na de Mere ghar se door hain raahaten mujhe dhoondti hain museebten Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de Mujhe chorr de mere haal par tera kiya bharosa ae chaaragar Yeh teri nawaazish e mukhtasar mera dard aur barrhaa na de Mera azam itna buland hai ke paraaye s...