Posts

Showing posts with the label parveen shakir

Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi

Image
Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi Main Apane Haath Se Us Ki Dulhan Sajaungi Supurd Kar Ke Use Chaandani Ke Haathon Mein Main Apane Ghar Ke Andheron Mein Laut Aongi Badan Ke Karb Ko Woh Bhi Samajh Na Payega Main Dil Mein Roungi Aankhon Mein Muskuraungi Woh Kyaa Gayaa Ke Rafaqat Ke Saare Lutf Gaye Main Kis Se Routh Sakuungi Kise Manaungi Woh Ek Rishtaa E Benaam Bhi Nahi Lekin Main Ab Bhi Us Ke Ishaaron Pe Sar Jhukaungi Bichha Diya Tha Gulaabon Ke Saath Apana Wajood Woh So Ke Uthe To Khwaabon Ki Raakh Uthaungi Ab Us Ka Fan To Kisi Aur Se Manasob Hua Main Kis Ki Nazm Akele Men Gun Gunaungi Javaz Dhuundh Raha Tha Nai Muhabbat Ka Woh Keh Raha Tha Ke Main Us Ko Bhool Jaungi

Teri Khushbo Ka Pata Karti Hai

Image
parveen shakir sad poetry 2 lines parveen shakir romantic poetry sms parveen shakir poetry books parveen shakir khushboo parveen shakir 2 line poetry parveen shakir poetry in urdu collection parveen shakir poetry in english parveen shakir poetry images Teri Khushbo Ka Pata Karti Hai Mujh Pe Ahsan Hawa Karti Hai Choom Kar Phool Ko Ahista Se Mojza Bad E Saba Karti Hai Aaj Khushbo Ko Reha Karti Hai Abar Abar Se To Anayat Us Ki Shakh To Sirf Dua Karti Hai Zindagi Phir Se Fiza Mein Roshan Mashal E Barg E Hina Karti Hai Hum Ne Dekhi Hai Wo Ujli Saat Raat Jab Sheir Kaha Karti Hai Shab Ki Tanhai Mein Ab To Aksar Guftago Tujh Se Raha Karti Hai Dil Ko Us Rah Pe Chalna Hi Nahi Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai Zindagi Meri Thi Lekin Ab To Tere Kehne Mein Raha Karti Hai Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh Dil Ka Ahwal Kaha Karti Hai Mashaf E Dil Pe Ajab Rangon Mein Aik Tasweer Bana Karti Hai Beniaz E Kaf E Daria Angasht Reit Par Naam Likha Karti Hai Dekh To Aan K Chehra Mera Ek Nazar Bhi Teri Kia Kar