Posts

Showing posts with the label Shabeena Adeeb

Teri yaad roshni hai

Image
Teri yaad roshni hai mera dil chamak raha hai Tere zikar k golon se mera ghar mehak raha hai Abhi aas hai Tumhari abhi mein mari nahi hoon Abhi Saans chal rahi hai abhi dil dharak rahai hai Ussy ye batao Do ghaz hi zameen ka hai wo malik kai kothiyan bana k jo bohat behek raha hai Na chal itna sar utha kar ye hayat muktasir hai Kahin moat ka farishta teri raha tak raha hai Tumhi aao to bache ga ye diya mohabbaton ka Jisay tum jala gaye the wo palak jhapak raha hai

Mere Maseeha mein jee uthungi

Image
Mere Maseeha mein jee uthungi duwain de de dawa se pehle Hayat mein noor ban k aa ja ghamon ki kali ghata se pehle Wo bewafa ho gaya hai phir bhi ussi ki yadoon mein ghom rahon gi Ye kaise bholon k usne mujh se wafa bhi ki hai jafa se pehle Jo chahte hain madad sabhi se zalil hote hain wo jahan mein Nawazti hai unhi ko duniya jo mangte hain Khuda se pehle Watan bachane ka waqat hai ye makaan bachane ki fikar choro Mere bhi hathon mein de do parcham mere bhozorgo hina se pehle Khatayen mujh se hoi hai lekin mujhe yaqeen hai tu bakhsh de ga Main hashar k din pokar lon gi tere karam ko saza se pehle

jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai

Image
Jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai Hamare dil se tera ghum nahi nikalta hai Sabhi ki piyas ko aezaz ye nahi milta Sabhi ki aeri se Zamzam nahi nikalta hai Kahan hai aa ja k main ab sakoon se marr to sakun Tere bagair mere dam nahi nikalta hai

Meri ummeed mera pyar meri aas raho

Image
Meri ummeed mera pyar meri aas raho Tum mujhe chor k mat jao mere pas raho Rozi roti k liye apna watan mat choro Jis ko seecha hai laho de k wo chaman mat choro Ja k pardes mein chahat ko taras jao ge Aesi beloas mohabbat ko taras jao ge Phool pardes mein chahat ka nahi khilta hai Eid k din bhi gale koi nahi milta hai Main kabhi tum se karon gi na koi farmaish Aesh o aaraam ki jagegi na dil mein khowaish Fatima bibi ki bandhi hon bharosa rakho Main tumhare liye jeeti hon bharosa rakho Lakh dukh dard ho hans hans k guzar kar longi Peat par band kar pathar bhi basar kar longi Tum agar jao ge pardes saja kar sapna Aur jab aao ge chamka k muqadar apna Mere chere ki chamak khakh mein mil jaye gi Meri zulfon se ye khushbo bhi nahi aaye gi Heere aur moti pehen kar bhi na saj paongi Surq jore mein bhi bewa si nazar aaongi Dard e furqat ghum e tanhai na seh paongi Main akeli kisi surat na reh paongi Mere dhaman k liye bagh mein kante na chuno Tum ne jane ki agar thanli dil mein to suno Apne han

Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mitegi URDU

Image
Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mite gi URDU Chahne Walon Ke Honton Pe Rahegi URDU Ye Zaban Wo Hai Jo Mahlon Mein Rahi Aan Ke Sath Aur Mazdoor Ke Ghar Mein Bhi Rahi Shaan Ke Sath ISHQ Ki Raah Ko Isne Kayi Raahi Bhi Diye Sarhadon Ke Liye Jaanbaz Sipahi Bhi Diye Jazba e Jung Ko Seenon Mein Jagaya Isne Apne Bharat Ko Ghulami Se Chhraya Isne Ye Zaban Jaise Usoolon Ki Zaban Lagti Hai Aesi Dilkash Hai K Phoolon Ki Zaban Lagti Hai Iske Nazdeek Na Hindu Na Musalman Koi Jisne Apnaya Ise Pyar Se Uski Ye Hui Ye Taassub Ke Andheron Ko Mita Deti Hai Aandhiyon Mein Bhi Chiragh Apna Jala Deti Hai Ja Ke Shaikh Ki Dahleez PaFan Ban Jaye Poche Mandir Mein To Meera Ka Bhajan Ban Jaye Ye To Hai Pyar Ki Pooja Ki Ebadat Ki Zaban Ye To Hai Rooh Ki Dharkan Ki Mohabbat Ki Zaban Is Zaban Ke Liye Seenon Mein Adawat Na Bharo Ye Zaban Pyar Sikhati Hai Ise Pyar Karo Is mein Hindi Ke Bhi Alfaz Hain Irani Bhi Is mein Geeta Ke Bhi Alfaz Hain Quraani Bhi Kon Kehta Hai Arab Se Ye Zaban Aayi Hai Aur Is Desh Mein Gairon Ki Zab

Kabhi jo Deta tha jaan mujh par

Image
Kabhi jo Deta tha jaan mujh par Usi k dil mein khatak rahi hoon Zamana bhatka hai teergi mein Main roshni mein bhatak rahi hoon

Hamesha ek doosre k haq mein

Image
Hamesha ek doosre k haq mein Dua karege ye tay howa tha Milein k bichrein magar tumhi se wafa karenge ye tay howa tha Kahin raho tum kahin rahein hum magar muhabbat rahegi qayam Jo ye khata hai to umar bhar ye khata karenge ye tay howa tha Udasiyan har ghari hon lekin hayat katon bhari ho lekin Khatoot pholoon ki patiyon par likha karenge ye tay howa tha Jahan mukaddar milaye ga ab wahan milege ye shart kaisi Jahan mile the wahi hamesa mila karen ge ye tay howa tha Lipat k ro lege jab milege gham apna apna bayan karege Magar zamane se muskura kar mila karenge ye tay howa tha Kisi k aanchal mein kho gaye tum batao kyun door ho gaye tum K jaan dekar bhi haq wafa ka Ada karenge ye tay howa tha

Adalat se bache lekin Khuda se bach nahi sakta

Image
Adalat se bache lekin Khuda se bach nahi sakta Koi gustakh e paigambar Saza se bach nahi sakta Farishta Moat ka eik roz usko dhoond hi le ga Kahin bhi ja k chop jaye Qaza se bach nahi sakta

Khamosh lab hain jhuki hain palkeen

Image
Khamosh lab hain jhuki hain palkeen dilon mein ulfat nayi nayi hai  Abhi takalluf hai guftgoo mein  abhi mohobat nayi nayi hai  Abhi na aayegi nennd tum ko  abhi na hum ko sukon mile ga  abhi to dharke ka dil zeyada  abhi ye chahat nayi nayi hai  Bahar ka aaj pahla din hai  chalo chaman mein tehl k aayen  faza mein khushbo nayi nayi hai  gulon pe rangat nayi nayi hai  Jo khandani raees hain wo  mizaaj rakhte hain narm apna  tumhara lehja bata raha hai  tumhari dolat nayi nayi hai  zara sa Qudarat ne kya nawaza  aa k baithy ho pehli saff mein  abhi se urrny lagy hawa mein  abhi to shohrat nayi nayi hai