Hum Raat Bohat Roye
hum raat bohat roye bohat aah o faghan ki dil dard se bojhal ho to phir neend kahan ki sir zaano pe rakhe hue kya soch rahi ho kuch baat samajhti ho mohabbat zadgan ki tum meri taraf daikh k chup ho si gai theen wo saat e khush waqat nishaat guzran ki ek din ye samajhte thay k payan e tamanna ek raat hai mahtaab k ayyam e jawan ki ab aur hi auqat hai aay jaan e tamanna hum nala kushan, begunah, ghum zadgan ki is gher ki khuli chhat pe chamakte hue taaro kehte ho kabhi baat wahan ja k yahan ki bargashta hua hum se ye mahtaab to piyaro bas baat suni raah chala kehkashan ki Allah kare Meer ka jannat mein makan ho marhom ne her baat humari hi bayan ki parhte hain shab o roz isi shakhs ki ghazalen ghazalen k hikayaat hain hum dil zadgan ki tum charkh e chhaarum k sataye hue logon taaraaj karo zindagiyan ehal e jahan ki acha humen bante hue mitte hue dekho hum mauj e gurezan hi sahi aab rawan ki Insha se milo is se na roken ge lekin is se ye mulaqat nikaali hai kahan ki mashhor hai her bazam...