Yeh Qafas Hi Mujh Ko Azeez Hai Yahan Jee To Loon Ga Qaraar Se Mujhe Ab Chaman Main Na Le Chalo Main Dara Huwa Hun Bahaar Se Ghum E Aashiqi Se Bhi Sakht Tha Gham E Zindagi Ka Maarka Jo Shikast Khaai To Ro Diya Main Lipat Ke Daaman E Yaar Se Main Kis Ka Karun Gila Hai Mera Naseeb Hi BeWafa Wohi Mujhse Karte Hain Dushmani Jinhen Dekhta Hun Main Pyar Se
Meri hasrat k janazy ko uthany waly Kitny be dard hain ye log zamany waly Koi apna nahi matlab ki hai duniya sari Ab kahan milty hain wo yar purany waly Main dua go hoon sada neendein hon mubarik tujh ko Hijar ka dard mujhe de k jagany waly Bas yehi soch k har bar manata hon usay Lot k aaty nahi rooth k jany waly Hamary dil main kabhi jhaank k daikho to sahi Kitny afsurda hain auron ko hansany waly
Lagi thi umer parindon ko ghar banate howe kisi ne kyon nahi socha shajer giraate howe main gir gaya kisi khai main larkhrate howe tu dekhta hi raha mujh ko muskraate howe ye zindgi thi k dhutkarti rahi mujh ko main baat kerta raha is se muskraate howe badan tha choor mera hijar ki mushaqat se k so gaya tha main khud derd ko sulate howe koi to us py qayamat guzar gai ho gi k aap beeti wo rone laga sunaate howe ajeeb neend main tha khawab gaah e hasti ki main is jahan se tere us jahan mein jaate howe kahni goo ke har lafaz main thi jadugari rula deya tha har shakhas ko hansaate howe main jal uthata tha tere hi khayal ki lo se tujhe khayal na aaya mujhe bujhaate howe na meri chasham e tamanna main jach saki dunya palat ke dekhta kaise usay main jaate howe
Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye Warna rah geer ko jane ki ijazat di jaye Is qadar zabt meri jan bhi lay sakta hai Kam se kam ashk bahane ki ijazat di jaye Kaar e duniya mujhe majno nahi banna lakin Ishq men naam kamane ki ijazat di jaye Kuch madawa he nahi gham k ilawa gham ka Zeher men zeher milane ki ijazat di jaye Doughlay pan ka hunar seekh lia hai maine Ab mujhe sheher men ane ki ijazat di jaye
Ab jo bikhre to bikharne ki shikayat kesi Khushk patton ki hawaon se rafaqat kesi Maine har dour main bus us se mohabbat ki hey Jurm sangeen hey ab is mein riayat kesi Ek patta bhi agar shakh se juda hota hey Kiya kahoon dil pe guzarti hey Qayamat kesi Zindagi tujhko to lamhoon ka safar kehtey thay Raah mein Aa gai sadiyon ki musafat kesi Hawa k dosh pe rakhey howey chiragh thay hum Mohsin Jo bujjh gaye to hawaon sey shikayat kesi