Posts

Showing posts with the label Sad Ghazals

Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata

Image
Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jata Sab kuch to hai kya dhondhti rehti hain nigahen kya baat hai main waqat pe ghar kyon nahin jata Woh ek hi chehra to nahin saare jahaan mein jo door hai woh dil se utar kyon nahin jata Main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha jate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jata Woh khwaab jo barson se na chehra na badan hai woh khwaab hawaaon mein bikhar kyon nahin jata

apna gham bhul gaye teri jafa bhul gaye

Image
apna gham bhul gaye teri jafa bhul gaye hum to har baat mohabbat k siwa bhul gaye hum akele hi nahin pyaar ke deewane sanam aap bhi nazrein jhukane ki ada bhul gaye ab to socha hain ke daaman hi tera thamenge haath jab humne uthaye hain dua bhul gaye shukr samjho ya ise apni shikayat samjho tumne wo dard diya hain ke dawa bhul gaye

Zindagi Ko Na Bana Lein Wo Saza Mere Baad

Image
Zindagi Ko Na Bana Lein Wo Saza Mere Baad  Honsla Dena Unhein Mere Khuda Mere Baad  Haath Uthe Hue Unke Na Koi Dekhega  Kis Ke Aane Ki Karenge Wo Dua Mere Baad  Kon Ghoonghat Ko Uthaye ga Sitamgar Keh Kar  Aur Phir Kis se Karen ge Woh Haya Mere Baad  Phir Zamane Mein Mohabbat Ki Na Parastish Hogi  Royegi Siskiyaan Le Le Ke Wafa Mere Baad  Wo Jo Kehta Tha Ke Sirf Tere Liye Jeeta Hoon  Us Ka Kya Janiye Kya Haal Hoga Mere Baad

Kia Khazane Meri Jaan HiJar Ki Shab Yaad Aaye

Image
Kia Khazane Meri Jaan HiJar Ki Shab Yaad Aaye Teri AanKhein Tere Gessu Tere Lab Yaad Aaye Phool Khilne Ka Jo Musam Mere Dil Mein Uttra Tere BakhShe Hoye Kuch Zakham Ajab Yaad Aaye Aik To Tha JiSe Ghurbat Mein Pukara Dil Ne Warna Bichre Hoye Ahbaab To Sab Yaad Aaye Ham Ne Mazi Ki Sakhawat Par Jo Pal Bhr Socha Dukh Bhi Kia Kia Hamein Yaroon K Sabab Yaad Aaye Bhool Jane Mein Woh Zalim Hai Bala Ka Mahir Yaad Aane Pe Bhi Aaye To Ghazab Yaad Aaye Ab To Aankhon Mein Kuch Dhool Hai Beeti Hoi Yadoon Ki Hum Usay Yaad Bhi Aaye Hain To Kab Yaad Aaye

Main akela hon mere yaar Khuda khair kare

Image
Main akela hon mere yaar Khuda khair kare Raasta hai barra dushwar Khuda khair kare Koi aawaz na logon ki koi aamad o raft Kitna khamosh hai bazaar Khuda khair kare Har taraf aik tuahum ki fason kaari hai Be yaqeni dil e bemaar Khuda khair kare Bujhne wala na ho tujh mein ye charagh e umeed Q hai fikar e kam o bisyaar Khuda khair kare Ab ye dar hai k na phainke kisi saiyare par Tez hai waqt ki raftaar Khuda khair kare Naik insan ka bahrop bhara hai main ne Kitna mushkil hai ye kirdaar Khuda khair kare Dorrte saaye hawa cheekhti galiyon mein Hanif Sara manzar hai pur asraar Khuda khair kare