Aaj baad muddat k Main ne usko dekha hei
Aaj baad mudat k Main ne usko daikha hei Woh zara nahi badli Ab bhi apni aankhon mein So sawal rakhti hei Choti choti batoon par Ab bhi khul k hansti hei Ab bhi uske lehjay mein Wohi khankhanahat hei Woh zara nahi badli Ab bhi uski palkon k Saaye geelay rehte hein Ab bhi uski sochon mein Mera naam rehta hei Ab bhi meri khatir woh Ussi tarah he pagal hei woh zara nahi badli Aaj baad muddat k Main ne usko dekha hei Tu mujhe bhi lagta hei Main bhi uski chahat mein Ussi tarah he pagal hon Baad itni mudat k Aur kuch nahi badla JUZ HAMARE RASTON K Aur kuch nahi badla