Aaj baad muddat k Main ne usko dekha hei

Aaj baad mudat k
Main ne usko daikha hei
Woh zara nahi badli
Ab bhi apni aankhon mein
So sawal rakhti hei
Choti choti batoon par
Ab bhi khul k hansti hei
Ab bhi uske lehjay mein
Wohi khankhanahat hei
Woh zara nahi badli

Ab bhi uski palkon k
Saaye geelay rehte hein
Ab bhi uski sochon mein
Mera naam rehta hei
Ab bhi meri khatir woh
Ussi tarah he pagal hei
woh zara nahi badli

Aaj baad muddat k 
Main ne usko dekha hei
Tu mujhe bhi lagta hei
Main bhi uski chahat mein
Ussi tarah he pagal hon
Baad itni mudat k
Aur kuch nahi badla
JUZ HAMARE RASTON K
Aur kuch nahi badla

Comments

Popular posts from this blog

Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Romantic Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Heart Touching Poetry, Romantic Poetry,

Pyaasa Hussain ko kahoon itna to bay adab nahin