Main akela hon mere yaar Khuda khair kare
Main akela hon mere yaar Khuda khair kare
Raasta hai barra dushwar Khuda khair kare
Koi aawaz na logon ki koi aamad o raft
Kitna khamosh hai bazaar Khuda khair kare
Har taraf aik tuahum ki fason kaari hai
Be yaqeni dil e bemaar Khuda khair kare
Bujhne wala na ho tujh mein ye charagh e umeed
Q hai fikar e kam o bisyaar Khuda khair kare
Ab ye dar hai k na phainke kisi saiyare par
Tez hai waqt ki raftaar Khuda khair kare
Naik insan ka bahrop bhara hai main ne
Kitna mushkil hai ye kirdaar Khuda khair kare
Dorrte saaye hawa cheekhti galiyon mein Hanif
Sara manzar hai pur asraar Khuda khair kare
Comments
Post a Comment