Teri Khushbo Ka Pata Karti Hai

parveen shakir sad poetry 2 lines parveen shakir romantic poetry sms parveen shakir poetry books parveen shakir khushboo parveen shakir 2 line poetry parveen shakir poetry in urdu collection parveen shakir poetry in english parveen shakir poetry images
Teri Khushbo Ka Pata Karti Hai
Mujh Pe Ahsan Hawa Karti Hai

Choom Kar Phool Ko Ahista Se
Mojza Bad E Saba Karti Hai

Aaj Khushbo Ko Reha Karti Hai
Abar Abar Se To Anayat Us Ki
Shakh To Sirf Dua Karti Hai

Zindagi Phir Se Fiza Mein Roshan
Mashal E Barg E Hina Karti Hai

Hum Ne Dekhi Hai Wo Ujli Saat
Raat Jab Sheir Kaha Karti Hai

Shab Ki Tanhai Mein Ab To Aksar
Guftago Tujh Se Raha Karti Hai

Dil Ko Us Rah Pe Chalna Hi Nahi
Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai

Zindagi Meri Thi Lekin Ab To
Tere Kehne Mein Raha Karti Hai

Us Ne Dekha Hi Nahi Warna Ye Aankh
Dil Ka Ahwal Kaha Karti Hai

Mashaf E Dil Pe Ajab Rangon Mein
Aik Tasweer Bana Karti Hai

Beniaz E Kaf E Daria Angasht
Reit Par Naam Likha Karti Hai

Dekh To Aan K Chehra Mera
Ek Nazar Bhi Teri Kia Karti Hai

Zindagi Bhar Ki Ye Takheer Apni
Ranj Milne Ka Sawa Karti Hai

Sham Parte Hi Kisi Shakhs Ki Yaad
Koocha E Jaaan Mein Sadaa Karti Hai

Masla Jab Bhi Charaghon Ka Utha
Faisla Sirf Hawaa Karti Hai

Mujh Se Bhi Us Ka Hai Waisa Hi Salook
Haal Jo Tera Anaa Karti Hai

Dukh Howa Karta Hai Kuch Aur Bayaan
Baat Kuch Aur Howa Karti Hai

Comments

Popular posts from this blog

Pyaasa Hussain ko kahoon itna to bay adab nahin