Main chahne walon ko mukhatib nahi karta

Main chahne walon ko mukhatib nahi karta
Aur tark e taaluq ki mein wazahat nahi karta

Wo apni jafason pe nadim nahi hota
Mein apni wafason ki tijarat nahi karta

Khushbu kisi tash�heer ki mohtaaj nahi hoti
Sacha hon magar apni waqalat nahi karta

Ehsas ki sooli pe latak jata hon aksar
Mein jabr e musalsal ki shikayat nahi karta

Mein azmat e insaan ka qayal to hoon Mohsin
Lekin kabhi bandon ki ibadat nahi karta

Comments

Popular posts from this blog

1920 Evil Returns Poetry

Pyaasa Hussain ko kahoon itna to bay adab nahin