Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein
Mata e Shaam e Safar Bastiyon Mein Chhor Aaye
Bujhe Charaagh Hum Apne Gharon Mein Chhor Aaye
Ghire Hain Lashkar e Aada Mein Ab Ye Sochte Hain
Hum Apne Teer Toh Apni Safoon Mein Chhor Aaye
Hum Apni Darbadari Ke Mushahidey Aksar
Naseehaton Ki Tarah Kamsino Mein Chhor Aaye
Bichhar Ke Tujh se Chale Hum Toh Ab Ke Youn Bhi Hua
Ki Teri Yaad Kahin Raaston Mein Chhor Aaye
Hawa Hi Din Mein Parinde Udaaye Phirti Hai
Hawa Hi Phir Se Unhen Ghonslon Mein Chhor Aaye
Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein
Hum Ahl e Dil Ko Bare Hoslon Mein Chhor Aaye
Urenge Kya Woh Parinde Jo Apne Rizq Samait
Safar Ka Shauq Bhi Toote Paron Mein Chhor Aaye
Sada Sukhi Rahein Chehre Woh Hum Jinhe Mohsin
Bujhe Gharon ki Khuli Khirkiyon Mein Chhor Aaye
Comments
Post a Comment