Posts

Romantic Shayari

Image
Apne Honthon Par Sajana Chahta Hun Aa Tujhe Mein Gungunana Chahta Hun Koi Aansu Tere Daman Par Gira Ke Boond Ko Moti Banana Chahta Hun Thak Gaya Mein Yaad Karte Karte Tujh Ko Ab Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hun Aakhiri Hichki Tere Zaano Pe Aaye Maut Bhi Mein Shairaana Chahta Hun Chaa Raha Hai Sari Basti Mein Andhera Rooshni Ko Ghar Jalana Chahta Hun ---------------------------- Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yun Bhi To Naseeb Ho Na Rahe Khayal Libaas Ka, Wo Itna Mere Qareeb Ho Badan Ki Garm Aanch Se Meri Aarzu Ko Aag De Mera Josh Behak Uthey, Mera Haal Bhi Ajeeb Ho Tere Chashni Wajood Ka Sara Ras Mein Chura Loon Phir Tu Hi Mera Marz Ho, Aur Tu Hi Mera Tabeeb Ho ---------------------------------------- Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain Dil Mein Dil-Dar Aaye Bethe Hain� Haath Par Un Ke Titli Beth Gai Gul Sabhi Khaar Khaye Bethe Hain� Dast-E-Nazuk Pe Titli Ne Socha Gul, Hina Kion Lagaye Bethe Hain� Rang Ura Le Gaye We Titli Ka, Gul Ki Khushbu Churaye Bethe Hain Shaibah Tak Nahi Shararat Ka, Kesi...

Parveen Shakir

Image
Dasht-E-Shab Par Dikhai Kia Deingi Silvatein Roshni Mein Ubhrain Gi Ghar Ki Deewarein Mere Jane Par Apni Tanhaiyon Ko Sochein Gi Ungliyon Ko Tarash Don Phir Bhi Aadtein Uska Naam Likhein Gi Rang-O-Bu Se Kahin Panah Nahi Khwahishein Bhi Kahan Aman Dengi Aik Khushbu Se Bach Bhi Jaon Ager Doosri Nikhatein Jakar Leingi Khirkhiyon Par Dabeiz Parde Hon Barishein Phir Bhi Dastakein Deingi ---------------------------------- Bichra Hai Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha Is Zakham Ko Ham Ne Kabhi Silte Nahi Dekha Ik Baar Jise Chaat Gai Dhoop Ki Khuahish Phir Shakh Pe Is Phool Ko Khilte Nahi Dekha Yak_Lakht Gira Hai To Jarain Tak Nikal Aain Jis Peir Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahi Dekha  Kanton Me Ghire Phool Ko Choom Aaye Gi Lekin Titli Ko Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha  Kis Tarah Meri Rooh Ko Hari Kar Gaya Aakhir Wo Zehar Jise Jism Me Khilte Nahi Dekha  -------------------------------- Badban Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna, Mein Samandar Dekhti Hun, Tum Kinara Dekhna Yun To Bicharna...

Ghajal

Image
Er. Furqan Azmi Aadhi raat ke shaid sapne jhoote they.. Ya phir pehli baar sitaare toote they... Jis din ghar se bagh ke sheher pohnchi thi, Bhag bhari ke bhag usi din phoote they... Mazhab ki bunyaad pe kia taqseem hui, Hamsayon ne hamsaye hi loote they... Shokh nazar ki chutki ne nuksaan kia, Haathon se chaye ke bartan choote they.. Aoorh ke phirti thi jo 'Nainaan' sari raat, Us resham ki shaal pe yaad ke boote they... ----------------------------------- Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya... Maazi Tou Sunehra Tha, Magar Haal Kho Gaya Wo Raub-o-Dabdaba, Wo Jalal Kho Gaya... Wo Husn-e-Be.Misaal Wo Jamal Kho Gaya, Doobey Hain Jawabo'n Me, Per Sawal Kho Gaya... Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya... Urtey Jo Fizao'n Main, Thay Shaheen Na Rahe Ba-Zauq Na Rahe, Zaheen Na Rahe Pkeeza Gar Nahi Rahe, Ba-Deen Na Rahe Wo Lal-o-Gulzar Wo, Mah-jabeen Na Rahe Momin Ka Wo, Andaz-e-B.kamal Kho Gaya Iqbal Teri Qaum Ka  Iqbal Kho Gaya... ---...