Romantic Shayari



Apne-Honthon-Qateel-Shifi

Apne Honthon Par Sajana Chahta Hun
Aa Tujhe Mein Gungunana Chahta Hun
Koi Aansu Tere Daman Par Gira Ke
Boond Ko Moti Banana Chahta Hun

Thak Gaya Mein Yaad Karte Karte Tujh Ko
Ab Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hun
Aakhiri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
Maut Bhi Mein Shairaana Chahta Hun

Chaa Raha Hai Sari Basti Mein Andhera
Rooshni Ko Ghar Jalana Chahta Hun
----------------------------
Koi-Raat-Parveen-Shakir

Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yun Bhi To Naseeb Ho
Na Rahe Khayal Libaas Ka, Wo Itna Mere Qareeb Ho
Badan Ki Garm Aanch Se Meri Aarzu Ko Aag De
Mera Josh Behak Uthey, Mera Haal Bhi Ajeeb Ho

Tere Chashni Wajood Ka Sara Ras Mein Chura Loon
Phir Tu Hi Mera Marz Ho, Aur Tu Hi Mera Tabeeb Ho
----------------------------------------
rsz_1love_mohabbat_poetry
Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain
Dil Mein Dil-Dar Aaye Bethe Hain�
Haath Par Un Ke Titli Beth Gai
Gul Sabhi Khaar Khaye Bethe Hain�

Dast-E-Nazuk Pe Titli Ne Socha
Gul, Hina Kion Lagaye Bethe Hain�
Rang Ura Le Gaye We Titli Ka,
Gul Ki Khushbu Churaye Bethe Hain

Shaibah Tak Nahi Shararat Ka,
Kesi Soorat Banaye Bethe Hain�
Is Se Barh Kar Bhi Koi Hai Nazuk?
Roshni Se Nahaye Bethe Hain�

Is Liye Paon Mein Dabata Hun
Wo Mera Dil Dabaye Bethe Hain
Aik But Ka Sawal Hai Mola
Man Ka Mandir Sajaye Bethe Hain

Is Liye Mutmaeen Hain Koh-E-Giran
Ham Imanat Uthaye Bethe Hain�
Dosra Moqa �Qais� Kese Mile?
Aik Dil Tha Ganwaye Bethe Hain�
------------------------------------
Romantic Girl

Aap Maghroor Kion Samajhte Hain..?
Mujhe kam Boolne ki Aadar Hai....
--------------------------------
Kis qadar masoom sa lehja tha uska 'dost' - Love Poetry

Kis qadar masoom sa lehja tha uska 'dost',
Dheeray se Jaan keh kar be-jaan kar diya...!
------------------------------------
Tera Husn Ho, Mera Ishq Ho

"Tera Husn Ho Mera Ishq Ho"

Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho

To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho
Kabhi Main Milon, Kabhi Tu Milay
Kabhi Hum Milain, Mulaqaat Ho

Kabhi Tu Ho Chup, Kabhi Main Hoon Chup
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hoon

Kabhi Guftagu
Kabhi Tazkiray
Kabhi Zikar Ho
Ko'i Baat Ho

Kabhi Visaal Ho To Din Ko Ho
Kabhi Hijar Ho To Voh Raat Ho

Kabhi Main Tera
Kabhi Tu Meri

Kabhi Sath Main
Kabhi Sath Tu

Kabhi Ek Doojay Ka Sath Ho

Kabhi Sohbatain, Kabhi Ranjishain
Kabhi Dooriyan, Kabhi Qurbatain
Kabhi Ulfatain, Kabhi Nafratain
Kabhi Jeet Ho, Kabhi Maat Ho
Kabhi PhooL Ho Kabhi Dhool Ho
Kabhi Yaad Ho, Kabhi BhooL Ho

Rahain Muskuratay Pyaar Main
Khilain Phool Ban K Bahaar Main

Na Nashaib Ho
Na Faraaz Ho
Na Nasab Ho
Na He Zaat Ho

Rahain Muskuratay Pyaar Main
Khilain Phool Ban K Bahaar Main

Na Zameen Ko'i
Na Falak Ko'i
Na Vajood Ho
Na He Zaat Ho

Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho..!!
---------------------------------

Mulaim Hath, Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain, or Yaqoot Hont - urdu romantic poetry


Mulaim Hath, Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain, or Yaqoot Hont...!
Wallah..! Qatal Baqi Hai, Auzaar To Sabhi Pooray Hain...!
---------------------------------

Bohat Kehny Ki Khuwahish Hai,
Mgr Bta Nahi Sakty.. 

Teri Batain, Teri Yaadain, 
Hamara Dil Dukhati Hain.. 

 Bohat Takleef Hoti Hai, 
Tujhe Suna Nahi Sakty.. 

Tere Sath Chalna Hai, 
Teri Manzil Bhi Ban Nahi Sakty .. 

Bohat Thak Gaye Hain Hum, 
Ab Aagy Ja Nahi Saktay.. 

Suno Hum Toot Jaen Ge, 
Humain Kese Sametto Ge.. 

K Mar K Bhi Meri jaan! 
Hum Tujhe Bhula Nahi Sakty...!!!
----------------------------------

? Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain ?
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain...


Suna hai rabt hai us ko kharaab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain...


Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain...

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain...

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain...

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain...

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain...

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain...

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain...

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain...

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain...

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain...

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain...

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain...

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain...

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain...

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain...

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain...

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain...

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain...

Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain...

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain

----------------------------------
 

..Mohabbat Phool Ha� JaNa,

..Kaho To Phool Ban Jaon..

..Tumahri Zindagi Ka Ek

..Haseen Asool Ban Jaon�

..Suna Hai Rait Pe Chal K,

..Tum Aksar Mehak Jatay Ho,

..Kaho To Ab K Bar Mein,

..�Zameen Ki Dhool Ban Jaon��?

..Buht Nayab Hotay Hain,

..Jinhey Tum Apna Kehtey Ho...!

..Ijazat Do K Mein B,

..Is Qadr Anmol Ban Jaon....

-------------------------

jO hOty hain faqat chahe jane k qabil,

wO lOg nhi hOty bhUlaye jane k qabil,

tera khalOs aapni jaga meri majbOri smjh,

kUch dUkh nhi hOty btaye jane k qabIl,

ay sagar ki lehrO zara deyaan se paltna,

kUch ghrOnde nhi hOty mitaye jane k qabil,

jnmbish-A-lu b zruri nhi ankhEn keh deti hain,

kUch jazbaat nhi hOty chUpaye jane k qabil!!

--------------------------------


?Uzr any main bhi hai aur bulaty bhi nahi,
baais-e-tark-e-mulaqat bataty bhi nahi,

khoob parda hai k chilman se lge bethe hain,
saf chupty bhi nahi samny aty bhi nahi,

dekhty hi mujhe mehfil me ye irshaad hua,
kon betha ha? isy log uthaty bhi nahi,

ho chuka qata ta'lluq to jafaen kiun hon,
jinko matlab nahi rehta wo sataty bhi nahi,

zeest se tang ho "MOHSIN" to jeety kiun ho,
jan pyari bhi nahi jan se jatay bhi nahi....

------------------------------------

? MOHABBAT CHORR DI HUM NE ?

Mohabbat chorr di hum ne....

Ye tum se kah diya kis ne ...,,,
K tum bin rah nahi saktay...,,,
Ye dukh hum sah nahi saktay...

Chalo hum maan laitay hain..
K Tun Bin.......
Hum buhat Roye....
kaii raton ko na soye....

Magar afsoos hai JANA...
K... ab k tum jo loto ge...
Humein Tabdeel Paoo Ge..
Buhat mayoos ho ge tum...

Agar tum poochna chaho k ...
Aisa kyn kiya hum ne.....
To .. sun lo goar se JANA...

PURANI IK RAWAYAT TANG AA KAR
TORR DI HUM NE.....

MOHABBAT CHOR DI HUM NE....!! 
MOHABBAT CHOR DI HUM NE....!!

Comments

Popular posts from this blog

Pyaasa Hussain ko kahoon itna to bay adab nahin