Posts

Showing posts from November, 2017

Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi

Image
Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi Main Apane Haath Se Us Ki Dulhan Sajaungi Supurd Kar Ke Use Chaandani Ke Haathon Mein Main Apane Ghar Ke Andheron Mein Laut Aongi Badan Ke Karb Ko Woh Bhi Samajh Na Payega Main Dil Mein Roungi Aankhon Mein Muskuraungi Woh Kyaa Gayaa Ke Rafaqat Ke Saare Lutf Gaye Main Kis Se Routh Sakuungi Kise Manaungi Woh Ek Rishtaa E Benaam Bhi Nahi Lekin Main Ab Bhi Us Ke Ishaaron Pe Sar Jhukaungi Bichha Diya Tha Gulaabon Ke Saath Apana Wajood Woh So Ke Uthe To Khwaabon Ki Raakh Uthaungi Ab Us Ka Fan To Kisi Aur Se Manasob Hua Main Kis Ki Nazm Akele Men Gun Gunaungi Javaz Dhuundh Raha Tha Nai Muhabbat Ka Woh Keh Raha Tha Ke Main Us Ko Bhool Jaungi

Thora thora hi mayassir rahe. kafi hai mujhe

Image
Thora thora hi mayassir rahe. kafi hai mujhe Wo mera sare ka sara nahi hone wala

Kia shakhs tha k jis ko nahi jeet paye hum

Image
Kia shakhs tha k jis ko nahi jeet paye hum Kia shakhs tha k hum se jo hara nahi gaya

Kon kehta hai usay dil se nikale howe hain

Image
Kon kehta hai usay dil se nikale howe hain Eik yehi roog to hum shoq se paley howe hain

Mukammal do he danoo per yeh Tasbeeh e Mohabbat hai

Image
Mukammal do he danoo per yeh Tasbeeh e Mohabbat hai Jo aaye teesra dana ye Dori toot jaati hai Muqarrar waqat hota Mohabbat ki Namazon ka Adaa jin ki nikl jaye. Qazaa bhi choat jati hai Mohabbat ki Namazon mein imamat aik ko soanpo Issay taknay. Usay taknay se Niyyat toot jati hai Mohabbat dil ka Sajda hai jo hai Tauheed per qayem Nazar k Shirk kerne se Mohabbat rooth jati hai

Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya

Image
Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya Payroon mein zanjireen dali hathon mein khaskol diya Jab bhi ko inaam mila hai mera naam bhi bhool gaye Jab bhi koi ilzaam laga hai mujh par laakar dhol diya Haath ke chhale paaon ke kaante aankh main aansoo dil ka dard Tune mujhko pyaar main jo bhi tohfa diya anmol diya Ab ghum aayen khushiyaan aayen maut aaye ya tu aaye Main ne to bas aahat paayi aur darwaza khol diya Jitna khushi se rishtaa mera utna ghum se naata hai Maine ek mizaan main apna saara dukh sukh tol diya

Ja k doshman se mere dosti pakki kar li

Image
Ja k doshman se mere dosti pakki kar li Ek hi raat mein bhai ne tarakki kar li

Rahe mehroom hum ye soch kar unchi urahno se

Image
Rahe mehroom hum ye soch kar unchi urahno se Hamare jisam ka parr se taluk toot na jaye Aata mat kijiyo mujh ko jo main ne tujh se manga hai Mere sar ka tere darr se taluk toot na jaye

Teri Awaz se pathar bhi pighal sakta hai

Image
Teri Awaz se pathar bhi pighal sakta hai Tu wo lamha hai jo sadyon ko nighal sakta hai Mujh se mat poch mere dil ki lagi ka aalam Mere ashqon se tera haath bhi jal sakta ahi

Teri meri yehi ek pehchan hai

Image
Teri meri yehi ek pehchan hai Main teri jaan hoon tu meri jaan hai Kia meri jhopri kia ye tera mehal Main bhi mehman hoon tu bhi mehman hain

Roshni ka kuch na kuch imkaan hona chahiye

Image
Roshni ka kuch na kuch imkaan hona chahiye Band kamre mein bhi roshandan hona chahiye Wo jo anparr hain chalo hewan hain to theek hain Hum paray likho ko to insaan hona chahiye Hindo muslim chahe jo likha ho mathe par magar Aap k seenay pe hindustan hona chahiye

Deepak jugnu chaand sitaare ek se hain

Image
Deepak jugnu chaand sitaare ek se hain Yani sare dard k mare ek se hain Darya hoon mein bhed bhao ko kia jano Mere liye to dono kinare ek se hain Jis k dil mein tu hai Maula us k liye Mandir Masjid Aur Gurdware ek se hain

Phoolon ne diye zakham to kanton se gila kia

Image
Phoolon ne diye zakham to kanton se gila kia Kia karna tha apno ne salok aur kiya kia Jab haath mein shesha tha na sagar na meena Gar dil nahi toota hai to phir chaan se gira kia Tum ne jo mehakte howe ye sher kahe hain Phir kocha e jana se koi zakham mila kia Wo pochte phirte hain mere baray mein sab se Ek mera bhi shayar hai usay tumne suna kia Chale the aana thi k wo gehrat thi k kia tha Jab farash tha makhmal ka to talwon mein chobha kia

Sheron mein kiraye ka makaan dhond rahe ho

Image
Rone ki saza hai na rulane ki saza hai Ye dard mohabbat ko nibhane ki saza hai Sheron mein kiraye ka makaan dhond rahe ho Ye gaon ka ghar chor k aane ki saza hai

Maza dekha miyan sach bolne ka

Image
Tarap lein to kasar koi nahi hai Magar us par asar koi nahi hai Maza dekha miyan sach bolne ka jidhar tum ho udhar koi nahin hai

Aate hain aane do ye toofaan kya le jaayen ge

Image
Aate hain aane do ye toofaan kya le jaayen ge Main to jab darta k mera hausla le jaayen ge Jis zameen par main khara hoon wo meri pahchaan hai Aap aandhi hain to kya aap mujh ko urh le jaayen ge Aap bas kirdaar hain apni hade pahchaniye Warna phir ek din kahaani se nikaale jaayenge

Tu samajta hai k rishton ki dhohai denge

Image
Tu samajta hai k rishton ki dhohai denge Hum to wo hai jo tere chahre se dikhai denge Hum ko mehsos kia jaye hai khushbo ki tarhan Hum koi shorr nahi hain jo sunai denge Faisla likha howa rakha hai pehle se khilaf Aap kia khaak aadalat mein safai denge

Wo meri peit mein khanjar zaror utare ga

Image
Wo meri peit mein khanjar zaror utare ga Magar nigha milegi to kaise maray ga

Lagta to bekhabar sa hun lekin khabar mein hoon

Image
Lagta to bekhabar sa hun lekin khabar mein hoon Teri nazar main hoon to main sab ki nazar mein hoon Manzil ki wo kahin jinhe manzil ki ho talab Mujh ko yehi bohat hai teri rehguzar mein hoon

Haadso ki zad pe hain to kya muskurana chor dein

Image
Haadso ki zad pe hain to kya muskurana chor dein Zalzalon ke khauf se kya ghar banana chor dein Tumne mere ghar na aane ki Qasam khaayi to hai Aansuyo se bhi kaho aankho mein aana chor dein pyaar ke dushman ek baar pyaar se keh k to dekh Aik tera dar hi kya hum to zamaana chor dein Dard mandi k sabhi rishte dhare reh jayenge Aansuyo ka bojh agar palken uthaana chor dein Baarishen deewar dho dene ki aadi hain to kya Is khauf se hum tera chehra banana chor dein

Mujh ko gunahgar kehe aur saza na de

Image
Mujh ko gunahgar kehe aur saza na de Itna bhi iktiyar kisi ko khuda na de

Kya dukh hai samandar ko bata bhi nahi sakta

Image
Kya dukh hai samandar ko bata bhi nahi sakta Aansoo ki tarah aankh tak aa bhi nahi sakta Tu chor raha hai to khata isme teri kya Har shakhs mera saath nibha bhi nahi sakta Pyase rahe jaate hain zamane ke sawalaat kis k liye zinda hoon bata bhi nahi sakta Ghar dhoondh rahe hain mera raaton ke pujari MAin hoon ki charaagon ko bhujha bhi nahi sakta Waise to ek aansoo hi bahaa ke mujhe le jaaye Aese koi toofan hila bhi nahi sakta

Wo Bulayen to kya Tamasha ho

Image
Wo Bulayen to kya Tamasha ho Hum na Jayen to kya Tamasha ho ye Kinarun se Khelnay walay Doob jayen to kya Tamasha ho Banda parwar Jo Hum pe Guzri hai Hum batayen to kya Tamasha ho Aaj Hum bhi Teri Wafaon par Muskurayen to kya Tamasha ho Teri Surat jo Ittefaq se Hum Bhool jayen to kya Tamasha ho Waqat ki Chand Saatein Saghar Loat aayen to kya Tamasha ho

Kaanto py chalna Shayari

Image
"zara bhi pao mai larzish nahe hain, . Mujhai kanto py chalna aagya na�!"

Muhabbat Karty hai

Image
"Toot Jaty Hain Wo LoG RaaT K SiTaron Ki Tarha,,,,,,,,,,,!!!!! Jo Khud Se Bhi Ziyada Kisi Aur Se Muhbbat Karte Hain.........!!!!!"

Kitna Yad atai hai ap

Image
"Aap Kya Janyn UlfaT HaMaRy DiL Ki.. Ye To HuM Jante Hain Ke Kitna Yad Aatin Hyn Ap"

December Shayari

Image
Guzar Jata hai Saara Saal Youn tou,,* Nahin Kat'ta Magar Tanha December....!!"

Apna Yad na kary

Image
"""Tum par guzray gi to tum b jan jao gay""...!! . Ay dost . ""Koi Apna Yaad NA karay To Kitna Dard Hota Hai."

Maihboob

Image
"Kon janai kis ka maihboob hun main,, * * FilHaal to ghamo ko matloob hun mai�!"

Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawaani Aai

Image
Thehri Thehri Si Tabiyat Mein Rawaani Aai Aaj Phir Yaad Mohabbat Ki Kahaani Aai  Aaj Phir Neend Ko Aankhoon Se Bicharte Dekha  Aaj Phir Yaad Koi Choat Puraani Aai  Muddaton Baad Un Pe ChaLa Hamaara Jaado  Muddaton Baad Humain Baat Banani Aai  Muddaton Baad Pasheman Huwa Darya Hum Par  Muddaton Baad Humain Piyaas Chupaani Aai  Muddaton Baad KhuLi Wusat e Sehraa Hum Par  Muddaton Baad Humain Khaak Urrani Aai  Itni Aasani Se Nahi Milti Fun Ki Doalat  Dhal Gai Umer Tu Ghazlon Pe Jawani Aai

Hum Raat Bohat Roye

Image
hum raat bohat roye bohat aah o faghan ki dil dard se bojhal ho to phir neend kahan ki sir zaano pe rakhe hue kya soch rahi ho kuch baat samajhti ho mohabbat zadgan ki tum meri taraf daikh k chup ho si gai theen wo saat e khush waqat nishaat guzran ki ek din ye samajhte thay k payan e tamanna ek raat hai mahtaab k ayyam e jawan ki ab aur hi auqat hai aay jaan e tamanna hum nala kushan, begunah, ghum zadgan ki is gher ki khuli chhat pe chamakte hue taaro kehte ho kabhi baat wahan ja k yahan ki bargashta hua hum se ye mahtaab to piyaro bas baat suni raah chala kehkashan ki Allah kare Meer ka jannat mein makan ho marhom ne her baat humari hi bayan ki parhte hain shab o roz isi shakhs ki ghazalen ghazalen k hikayaat hain hum dil zadgan ki tum charkh e chhaarum k sataye hue logon taaraaj karo zindagiyan ehal e jahan ki acha humen bante hue mitte hue dekho hum mauj e gurezan hi sahi aab rawan ki Insha se milo is se na roken ge lekin is se ye mulaqat nikaali hai kahan ki mashhor hai her bazam

Ishq Shayari

Image
"Suno�! Tum Ishq ko pakar lao�! Mai khanjar taiz karta hun..!"

Aajazi Shayari

Image
"Os ny maira ghoror thora hai, . Aajezi bai wajh nahe Aati.."

Yaadon kai chiragh

Image
"Tamtamaty rahain bujhti hove yaado kai chiragh, . Dil ki viraani py gar ap ko israar na ho"

Bewafai kar kuch es ada sy

Image
"kuch es ada sy mairy sath bewafai kar, . Kai tairy vad mujhy koi bewafa na lagy.."

Teri yaad roshni hai

Image
Teri yaad roshni hai mera dil chamak raha hai Tere zikar k golon se mera ghar mehak raha hai Abhi aas hai Tumhari abhi mein mari nahi hoon Abhi Saans chal rahi hai abhi dil dharak rahai hai Ussy ye batao Do ghaz hi zameen ka hai wo malik kai kothiyan bana k jo bohat behek raha hai Na chal itna sar utha kar ye hayat muktasir hai Kahin moat ka farishta teri raha tak raha hai Tumhi aao to bache ga ye diya mohabbaton ka Jisay tum jala gaye the wo palak jhapak raha hai

Mere Maseeha mein jee uthungi

Image
Mere Maseeha mein jee uthungi duwain de de dawa se pehle Hayat mein noor ban k aa ja ghamon ki kali ghata se pehle Wo bewafa ho gaya hai phir bhi ussi ki yadoon mein ghom rahon gi Ye kaise bholon k usne mujh se wafa bhi ki hai jafa se pehle Jo chahte hain madad sabhi se zalil hote hain wo jahan mein Nawazti hai unhi ko duniya jo mangte hain Khuda se pehle Watan bachane ka waqat hai ye makaan bachane ki fikar choro Mere bhi hathon mein de do parcham mere bhozorgo hina se pehle Khatayen mujh se hoi hai lekin mujhe yaqeen hai tu bakhsh de ga Main hashar k din pokar lon gi tere karam ko saza se pehle

jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai

Image
Jo hai naseeb mein wo kham nahi nikalta hai Hamare dil se tera ghum nahi nikalta hai Sabhi ki piyas ko aezaz ye nahi milta Sabhi ki aeri se Zamzam nahi nikalta hai Kahan hai aa ja k main ab sakoon se marr to sakun Tere bagair mere dam nahi nikalta hai

Na Haath Thaam Sake Na Pakarr Sake Daaman

Image
Na Haath Thaam Sake Na Pakarr Sake Daaman Bahut Qareeb Se Utth Kar Chala Gaya Koi

Sukoon naseeb nahi hai mujhe ujaalon mein

Image
Sukoon naseeb nahi hai mujhe ujaalon mein  Chiraagh le kar andhere talaash karta hoon

Yeh Qafas Hi Mujh Ko Azeez Hai

Image
Yeh Qafas Hi Mujh Ko Azeez Hai Yahan Jee To Loon Ga Qaraar Se  Mujhe Ab Chaman Main Na Le Chalo Main Dara Huwa Hun Bahaar Se  Ghum E Aashiqi Se Bhi Sakht Tha Gham E Zindagi Ka Maarka  Jo Shikast Khaai To Ro Diya Main Lipat Ke Daaman E Yaar Se  Main Kis Ka Karun Gila Hai Mera Naseeb Hi BeWafa  Wohi Mujhse Karte Hain Dushmani Jinhen Dekhta Hun Main Pyar Se

Mere lafzon se na kar mere kirdaar ka faisla

Image
Mere lafzon se na kar mere kirdaar ka faisla Tera wajood mit jayega meri haqeeqat dhondte dhondte

Meri ummeed mera pyar meri aas raho

Image
Meri ummeed mera pyar meri aas raho Tum mujhe chor k mat jao mere pas raho Rozi roti k liye apna watan mat choro Jis ko seecha hai laho de k wo chaman mat choro Ja k pardes mein chahat ko taras jao ge Aesi beloas mohabbat ko taras jao ge Phool pardes mein chahat ka nahi khilta hai Eid k din bhi gale koi nahi milta hai Main kabhi tum se karon gi na koi farmaish Aesh o aaraam ki jagegi na dil mein khowaish Fatima bibi ki bandhi hon bharosa rakho Main tumhare liye jeeti hon bharosa rakho Lakh dukh dard ho hans hans k guzar kar longi Peat par band kar pathar bhi basar kar longi Tum agar jao ge pardes saja kar sapna Aur jab aao ge chamka k muqadar apna Mere chere ki chamak khakh mein mil jaye gi Meri zulfon se ye khushbo bhi nahi aaye gi Heere aur moti pehen kar bhi na saj paongi Surq jore mein bhi bewa si nazar aaongi Dard e furqat ghum e tanhai na seh paongi Main akeli kisi surat na reh paongi Mere dhaman k liye bagh mein kante na chuno Tum ne jane ki agar thanli dil mein to suno Apne han

Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mitegi URDU

Image
Na Miti Thi Na Miti Hai Na Mite gi URDU Chahne Walon Ke Honton Pe Rahegi URDU Ye Zaban Wo Hai Jo Mahlon Mein Rahi Aan Ke Sath Aur Mazdoor Ke Ghar Mein Bhi Rahi Shaan Ke Sath ISHQ Ki Raah Ko Isne Kayi Raahi Bhi Diye Sarhadon Ke Liye Jaanbaz Sipahi Bhi Diye Jazba e Jung Ko Seenon Mein Jagaya Isne Apne Bharat Ko Ghulami Se Chhraya Isne Ye Zaban Jaise Usoolon Ki Zaban Lagti Hai Aesi Dilkash Hai K Phoolon Ki Zaban Lagti Hai Iske Nazdeek Na Hindu Na Musalman Koi Jisne Apnaya Ise Pyar Se Uski Ye Hui Ye Taassub Ke Andheron Ko Mita Deti Hai Aandhiyon Mein Bhi Chiragh Apna Jala Deti Hai Ja Ke Shaikh Ki Dahleez PaFan Ban Jaye Poche Mandir Mein To Meera Ka Bhajan Ban Jaye Ye To Hai Pyar Ki Pooja Ki Ebadat Ki Zaban Ye To Hai Rooh Ki Dharkan Ki Mohabbat Ki Zaban Is Zaban Ke Liye Seenon Mein Adawat Na Bharo Ye Zaban Pyar Sikhati Hai Ise Pyar Karo Is mein Hindi Ke Bhi Alfaz Hain Irani Bhi Is mein Geeta Ke Bhi Alfaz Hain Quraani Bhi Kon Kehta Hai Arab Se Ye Zaban Aayi Hai Aur Is Desh Mein Gairon Ki Zab

Main ne samjha tha k loat aate hain jane wale

Image
Main ne samjha tha k loat aate hain jane wale Tu ne ja kar to judai meri Qismat kar di

Aaj baad muddat k Main ne usko dekha hei

Image
Aaj baad mudat k Main ne usko daikha hei Woh zara nahi badli Ab bhi apni aankhon mein So sawal rakhti hei Choti choti batoon par Ab bhi khul k hansti hei Ab bhi uske lehjay mein Wohi khankhanahat hei Woh zara nahi badli Ab bhi uski palkon k Saaye geelay rehte hein Ab bhi uski sochon mein Mera naam rehta hei Ab bhi meri khatir woh Ussi tarah he pagal hei woh zara nahi badli Aaj baad muddat k  Main ne usko dekha hei Tu mujhe bhi lagta hei Main bhi uski chahat mein Ussi tarah he pagal hon Baad itni mudat k Aur kuch nahi badla JUZ HAMARE RASTON K Aur kuch nahi badla

Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hon Abhi

Image
Mere Qatil Ko Pukaro K Main Zinda Hon Abhi Phir Se Maqtal Ko Sanwaro K Main Zinda Hon Abhi Ye Shab e Hijar To Sathi Hai Meri Barson Se Jao So Jao Sitaro K Main Zinda Hon Abhi Ye Preshan Se Gaisu Dekhe Nahi Jate Apni Zulfon Ko Sanwaro K Main Zinda Hon Abhi Lakh Mojon Mein Ghera Hon Abhi Dooba To Nahi Mujh Ko Sahil Se Pukaro K Main Zinda Hon Abhi Qabar Se Aaj Bhi MOHSIN Ki Aati Hai Sada Tum Kahan Ho Mere Yaro K Main Zinda Hon Abhi

Mairy Aansun ka Rang

Image
"badla hua hai Aaj mairy aansoun ka rang,, . Kya Dil kai zaihm ka koi tanka idhar gaya"

beautiful Urdu Shayari Pics

Image
"Kyun malamat es qadar karty ho bai hasil hai yai, . Lag chuka ab chothna mushkil hai es ka dil hai yai"

Mehfil Shayari

Image
"Shayed mujhy nikal kai pichta rahai ho Ap, . Maihfil mai es khyaal sy phir aagaya hun mai"