Posts

Showing posts from October, 2017

Ye Do Kinaray To Darya K Ho Gaye Hum Tum

Image
Ye Do Kinaray To Darya K Ho Gaye Hum Tum Magar Wo Kon Hai Jo Teesra Kinaara Hai

koi to us py qayamat guzar gai ho gi

Image
Lagi thi umer parindon ko ghar banate howe kisi ne kyon nahi socha shajer giraate howe main gir gaya kisi khai main larkhrate howe  tu dekhta hi raha mujh ko muskraate howe ye zindgi thi k dhutkarti rahi mujh ko main baat kerta raha is se muskraate howe badan tha choor mera hijar ki mushaqat se  k so gaya tha main khud derd ko sulate howe koi to us py qayamat guzar gai ho gi   k aap beeti wo rone laga sunaate howe ajeeb neend main tha khawab gaah e hasti ki main is jahan se tere us jahan mein jaate howe kahni goo ke har lafaz main thi jadugari  rula deya tha har shakhas ko hansaate howe main jal uthata tha tere hi khayal ki lo se tujhe khayal na aaya mujhe bujhaate howe na meri chasham e tamanna main jach saki dunya  palat ke dekhta kaise usay main jaate howe

Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata

Image
Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jata Sab kuch to hai kya dhondhti rehti hain nigahen kya baat hai main waqat pe ghar kyon nahin jata Woh ek hi chehra to nahin saare jahaan mein jo door hai woh dil se utar kyon nahin jata Main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha jate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jata Woh khwaab jo barson se na chehra na badan hai woh khwaab hawaaon mein bikhar kyon nahin jata

Yon mere dil k barabar tera ghum aaya hai

Image
Yon mere dil k barabar tera ghum aaya hai Jaise sheshay k mukabil koi pathar jana

Apne sannaton mein dooba ek goonga aadmi

Image
Apne sannaton mein dooba ek goonga aadmi Dil ki masjid mein azaan dekar bilaali ho gaya

Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna

Image
Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna Teergi shaher se rukhsat nahin hone wali Saath chalna hai to talwaar uttha meri tarah Mujhse buzdil ki himaayat nahin hone wali Ab k jo faisla hoga wo yahin par hoga Hum se ab doosri hijrat nahin hone wali

Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena

Image
Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena Haath jab usse milana to dabaa bhi dena Wese is khat mein koi baat nahi hai phir bhi Ahtiyatan isay parh lo to jala bhi dena

Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska

Image
Kabhi akele mein milkar jhanjhor dunga use Jahan jahan se wo toota hai, jorr dunga use Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska Iraada maine kiya tha ke chor dunga use Paseene baantta phirta hai har taraf sooraj Kabhi jo haath laga to nichor dunga use Bacha ke rakhta hai khud ko wo mujhse sheesha badan Use ye darr hai ke main tor porr dunga use Maza chakha ke hi maana hun main bhi duniya ko Samajh rahi thi ke aise hi chhor dunga use

Kabhi dimag kabhi dil kabhi nazar mein raho

Image
Kabhi dimag kabhi dil kabhi nazar mein raho Ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho

To phir yakeen se aage bharam nikal jaye

Image
To phir yakeen se aage bharam nikal jaye Hawa na ho to charagon ka dum nikal jaye Hum ahl e dil ko hiqaarat se dekhne wale Khuda kare teri gardan ka kham nikal jaye Mujhe to maar hi daale ga khaalipan mera Jo dil se teri judaai ka gam nikal jaye

Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage

Image
Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage Charaagh haath utha kar duayein karne lage Saleeka jin ko sikhaya tha humne chalne ka Wo log aaj humein daayen baayen karne lage Lahu-luhaan pada tha zami par ek suraj Parinde apne paro se hawaayein karne lage Zami par aa gaye aankhon se toot kar aansu Buri khabar hai farishtey khatayein karne lage Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar Ye sab mareez hain jo ab dawayein karne lage Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi Safedposh uthe kaayein kaayein karne lage

Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye

Image
Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye Mere Allah meri khaak thikane lag jaye Ghere rehte hain kai khwaab meri aankho ko Kaash kuch der mujhe neend bhi aane lag jaye

Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai

Image
Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai Hausla hai to nadi paar bhi kar sakta hai Jurm khud karna aur ilzaam kisi par dharna Ye naya nuskha hai bimaar bhi kar sakta hai Ek huqumat hai jo inaam bhi de sakti hai Ek kalandar hai jo inkaar bhi kar sakta hai Dhundta phirta hai tu der-o-haram mein jisko Moond le aankh to deedaar bhi kar sakta hai Jaagte rahiye ki awaaz lagaane wala Lootne walo ko hoshiyaar bhi kar sakta hai

Jaa k ye keh de koi sholon se chingaari se

Image
Jaa k ye keh de koi sholon se chingaari se Phool is baar khile hain badi taiyari se Baadshahon se bhi phenke hue sikke na liye Humne khairaat bhi maangi hai to khuddari se

Mere khuloos ki gehrayi se nahi milte

Image
Mere khuloos ki gehrayi se nahi milte Ye jhuthe log hain sachchai se nahi milte Mohabbaton ka sabak de rahe hain duniya ko Jo Eid apne sagay bhai se nahi milte

Jab tak tumhaare haath mere haath mein rahe

Image
Suraj sitaare chaand mere sath me rahe Jab tak tumhaare haath mere haath mein rahe Shaakhon se toot jaayein wo patte nahi hai hum Aandhi se koi keh de ke aukaat mein rahe

Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna

Image
Chaand ek toota hua tukra mere jaam ka hai Ye mera kaul nahi hazrat e khayyaam ka hai Hum se pucho ke ghazal maangti hai kitna lahu Sab samajhte hain ye dhanda bare aaraam ka hai Ab teri baari hai aayine bacha le apne Mere haatho mein jo pathhar hai tere naam ka hai Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna Tu samandar hai to hoga mere kis kaam ka hai

Wo dor jisse hum aakaash choom sakte the

Image
Puraana karz chukaane mein kharch kar daali Tamaam umr kamaane mein kharch kar daali Wo dor jisse hum aakaash choom sakte the Use patang udaane mein kharch kar daali

Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga

Image
Ban ke ek haadsa baazaar mein aa jaye ga Jo nahin hoga wo akhbaar mein aa jaye ga Chor uchakkon ki karo qadar ke maloom nahin Kon kab kon si sarkaar mein aa jaye ga Apne saahil se ye angaare hata lo Warna  saara paani meri talwaar mein aa jayega

Door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya

Image
Rahat Indori Urdu Hindi Poetry Archives Collection of Rahat Indori Shayari and Ghazals Jaagne ki bhi jagaane ki bhi aadat ho jaaye Kaash tujh ko kisi shayar se mohabbat ho jaaye Door hum kitne dino se hain kabhi gaur kiya Phir na kehna jo amaanat mein khayaanat ho jaaye Jugnuon tum ko naye chaand ugaane honge Is se pehle ke andheron ki huqumat ho jaaye Ukhr parte hain meri qabr ke patthar har din Tum kisi din jo chali aao marammat ho jaaye

Kuch aur kaam use yaad hi nahi shayad

Image
Ghazals of Rahat Indori Rahat Indori Poetry Poems Ghazals Love Sad Mera zameer mera aitbaar bolta hai Meri zabaan se parvardigaar bolta hai Teri zabaan katarna bahut zaruri hai Tujhe maraz hai ke tu baar-baar bolta hai Kuch aur kaam use yaad hi nahi shayad Magar wo jhooth bahut shaandaar bolta hai Khuda ne uske labon par mithaas rakh di hai Wo bolta hai to jaise sitaar bolta hai

Tu mujhe chorr k thokra ke ja bhi sakti hai

Image
Tu mujhe chorr k thokra ke ja bhi sakti hai Tere haton mein mera hath hai zanjeer nahi

Sula chuki thi ye duniya thapak thapak k mujhe

Image
Rahat Indori Shayari Urdu Shayari Hindi Shayari Sher o Shaeri SMS Sula chuki thi ye duniya thapak thapak k mujhe Jagaa diya teri paazeb ne khanak k mujhe Koi bataaye main iska kya ilaaj karun Pareshaan karta hai ye dil dhadak dhadak ke mujhe Taalluqaat mein kaise daraar parti hai Bata diya kisi kamzarf ne chalak ke mujhe Bahut si nazrein hamaari taraf hain mehfil mein Ishaara kar diya usne zara sarak ke mujhe

Aag ke paas kabhi mom ko laakar dekhun

Image
Collection of Rahat Indori Urdu Shayari and Hindi Ghazals Aag ke paas kabhi mom ko laakar dekhun Ho ijaazat to tujhe haath laga kar dekhun Dil ka mandir bara viraan nazar aata hai Sochta hoon teri tasveer laga kar dekhun

Jo lab sile the wo elaan hone waale hain

Image
Rahat Indori Urdu Poet Ghazals Shayari Lyrics on Politics Rahat Indori Jo lab sile the wo elaan hone waale hain Teri tabaahi ka saamaan hone waale hain Hai mashvara ke zalaalat se baaz aa warna Juloos jung ka maidaan hone waale hain

Abhi ganimat hai sabar mera

Image
rahat indori shayari lyrics rahat indori poetry books rahat indori shayari in urdu pdf rahat indori shayari on politics rahat indori 2016 rahat indori books rahat indori videos rahat indori books pdf  Abhi ganimat hai sabar mera abhi labalab bhara nahi hoon Wo mujh ko murda samajh raha hai  Usse kaho main mara nahi hoon Wo keh raha hai ke kuch dino mein Mita ke rakh dunga nasal teri Hai uski aadat dara raha hai  Hai meri fitrat dara nahi hoon

Ishq mein jeet ke aane ke liye kaafi hoon

Image
Ishq mein jeet ke aane ke liye kaafi hoon Maine akela hi zamaane ke liye kaafi hoon Har haqeeqat ko meri khwaab samajhne waale Main teri neend udaane ke liye kaafi hoon Mere bachchon mujhe dil khol ke tum kharch karo Main akela hi kamaane ke liye kaafi hoon Ek akhbaar hoon aukaat hi kya meri Magar sheher mein aag lagaane ke liye kaafi hoon

Teri har baat mohabbat mein gawaara kar ke

Image
Teri har baat mohabbat mein gawaara kar ke Dil ke baazaar mein baithe hain khasaara kar ke Ek chingaari nazar aayi thi basti mein use Wo alag hat gaya aandhi ko ishaara kar ke Aasmaano ki taraf Penk diya hai maine Chand mitti ke charaagon ko sitaara kar ke Main wo dariya hun ke har boond bhanwar hai jiski Tumne acha hi kiya mujhse kinaara kar ke Aate jaate hain kai rang mere chehre par Log lete hain maza zikr tumhara kar ke Muntazir hun ke sitaaro ki zara aankh lage Chaand ko chhat pe bula lunga ishara kar ke

Jo jurm karte hain itne bure nahi hote

Image
Nayi hawaon ki sohbat bigaar deti hai Kabutaron ko khuli chhat bigaar deti hai Jo jurm karte hain itne bure nahi hote Saza na deke adaalat bigaar deti hai Milaana chaha hai insaan ko jab bhi insaan se To saare kaam siyasat bigaar deti hai Hamaare peer Taqi Mir ne kaha tha kabhi Miyan ye aashiqui izzat bigaar deti hai

Mere Hujre mein Nahi aur kahin per rakh do

Image
Mere Hujre mein Nahi aur kahin per rakh do Aasman laye ho. Le aao Zameen par rakh do Ab kahan dhundne jaogey humarey qaatil Ap to qaatl ka ilzaam humi par rakh do Usne kuch Taak pe tutey diye rakhe hain Chaand Taaron ko le jaa kar wahin par rakha do Kashti tera naseeb chamakdar kar dia Is paar k thaperon ne us par dia Afwaah thi ki meri tabiyat kharab hai Logon ne puch puch k bimar kar dia Do gaaz sahi magar ye meri milkiyat to hai Ae maut tune mujhe zamidaar kar dia

Log Karte Hain Faqat Waqt Guzaari Pagal

Image
Log Karte Hain Faqat Waqt Guzaari Pagal Koi Karta Hi Nahi Baat Humari Pagal Usne eik bar kaha koi nahi tum jaisa Khud ko bhi lagne lagi tab se mein pyari Pagal Tu bhi hans hans k kia karta tha batain aur main Teri baton mein chali aai bichari Pagal Eik muddat se teri raah mein aa bethi hai Ishq mein tere hoi rajkomari Pagal Yon nahi hai k srif neen howe hain mere Dekh kar tujh ko hoi sari ki sari Pagal Usne pocha k meri hona to itna boli Haan Tumhari. Main Tumhari. Main Tumhari Pagal. Main Rabab is se zada bhi tujhe kia don ab Zindagi hi jo tere naam py wari Pagal

Jate howe jee bhar k usay dekh to lon main

Image
Jate howe jee bhar k usay dekh to lon main Ae Aankh tehar tujh ko to rone ki pari hai

Beth jate hain Dil mein torr kar chale jate hain

Image
Beth jate hain Dil mein torr kar chale jate hain Be reham bande khuda ka ghar bhi nahi chorte

Chalo usi se kahain dil ka hal jo bhi ho

Image
Chalo usi se kahain dil ka hal jo bhi ho woh chara gar to hai us ka khyal jo bhi ho usi k dard se milte hain silslay jan k usi k naam laga do milal jo bhi ho maray na haar k hum qais o kohkan ki tarah ab ashqi mein humari misal jo bhi ho yeh rah guzar pe jo shamain damkti jati hain usi ka qamat e zaiba hai chaal jo bhi ho faraz is ne wafa ki k bewafai ki jawab deh to humi hain sawal jo bhi ho

Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein

Image
Mata e Shaam e Safar Bastiyon Mein Chhor Aaye Bujhe Charaagh Hum Apne Gharon Mein Chhor Aaye Ghire Hain Lashkar e Aada Mein Ab Ye Sochte Hain Hum Apne Teer Toh Apni Safoon Mein Chhor Aaye Hum Apni Darbadari Ke Mushahidey Aksar Naseehaton Ki Tarah Kamsino Mein Chhor Aaye Bichhar Ke Tujh se Chale Hum Toh Ab Ke Youn Bhi Hua Ki Teri Yaad Kahin Raaston Mein Chhor Aaye Hawa Hi Din Mein Parinde Udaaye Phirti Hai Hawa Hi Phir Se Unhen Ghonslon Mein Chhor Aaye Humare Baad Bhi Rounaq Rahegi Maqtal Mein Hum Ahl e Dil Ko Bare Hoslon Mein Chhor Aaye Urenge Kya Woh Parinde Jo Apne Rizq Samait Safar Ka Shauq Bhi Toote Paron Mein Chhor Aaye Sada Sukhi Rahein Chehre Woh Hum Jinhe Mohsin Bujhe Gharon ki Khuli Khirkiyon Mein Chhor Aaye

Buhat Aziz Tha Shayad Wo Iss Liye Mohsin

Image
Biyaan Har Kisi Se Hijr o Wisal Karte Ho Kyun Apne Sheher Mein Jina Muhaal Karte Ho Bichar K Bhala Mile Hain Musafir Bhi Kyun Apne Ap Ko Yun Hi Nidhal Karte Ho Suna Hai Wo Bhi Tumhe Pochta Hai Asey Hi Tum Us K Bare Mein Jase Sawal Karte Ho Wo Aashnai Usey Yaad Hi Naa Ho Shayad Wo Jis K Naam Pe Sab Mah o Saal Karte Ho Buhat Aziz Tha Shayad Wo Iss Liye Mohsin Bicharne Wale Ka Ab Tak Milal Karte Ho

Rutha To Shehar e Khwab Ko Gharat Bhi Kar Gaya

Image
Rutha To Shehar e Khwab Ko Gharat Bhi Kar Gaya Phr Muskara K Taza Sharrarat Bhi Kar Gaya Shayad Ussay Aziz Thin Aankhain Meri Buhat Wo Mere Naam Apni Bassarat Bhi Kar Gaya Mun Zoor Aandhiyon Ki Hathaile Pe Ik Charagh Paida Mere Lahu Mein Harrarat Bhi Kar Gaya Bosida Badban Ka Tukra Hawa K Sath Tofaan Mein Kashtiyon Ki Safarish Bhi Kar Gaya Dil Ka Nagar Ujarnay Wala Huner Shanas  Tameer Hoslon Ki Amarat Bhi Kar Gaya Sab Ahl e Shehar Uthatay Thy Jis Pe Ungliyan Wo Shehar Bhar Ko Waja e Zayarat Bhi Kar Gaya Mohsin Ye Dil K Us Se Bicharta Na Tha Kabhi Aaj Us Ko Bholnay Ki Jissarat Bhi Kar Gaya

apna gham bhul gaye teri jafa bhul gaye

Image
apna gham bhul gaye teri jafa bhul gaye hum to har baat mohabbat k siwa bhul gaye hum akele hi nahin pyaar ke deewane sanam aap bhi nazrein jhukane ki ada bhul gaye ab to socha hain ke daaman hi tera thamenge haath jab humne uthaye hain dua bhul gaye shukr samjho ya ise apni shikayat samjho tumne wo dard diya hain ke dawa bhul gaye

Usne qad kaath nikala hai zamane mein bohat

Image
World of Urdu Poetry Shairy Urdu Poetry Urdu Shayari urdu shayari sms sad poetry in urdu sms short urdu love poetry poetry sms in urdu romantic urdu poetry sms text messages latest urdu poetry love poetry urdu sms sms in urdu Usne qad kaath nikala hai zamane mein bohat Wo magar soch ka bona hai yahi rona hai

Mujhe Maloom hai tum khush ho is judai se

Image
urdu shayari sms sad poetry in urdu sms short urdu love poetry poetry sms in urdu romantic urdu poetry sms text messages latest urdu poetry love poetry urdu sms sms in urdu Mujhe Maloom hai tum khush ho is judai se Ab apna khayal rakhna Tum ko tum jaisa na mil jaye

Zindagi Ko Na Bana Lein Wo Saza Mere Baad

Image
Zindagi Ko Na Bana Lein Wo Saza Mere Baad  Honsla Dena Unhein Mere Khuda Mere Baad  Haath Uthe Hue Unke Na Koi Dekhega  Kis Ke Aane Ki Karenge Wo Dua Mere Baad  Kon Ghoonghat Ko Uthaye ga Sitamgar Keh Kar  Aur Phir Kis se Karen ge Woh Haya Mere Baad  Phir Zamane Mein Mohabbat Ki Na Parastish Hogi  Royegi Siskiyaan Le Le Ke Wafa Mere Baad  Wo Jo Kehta Tha Ke Sirf Tere Liye Jeeta Hoon  Us Ka Kya Janiye Kya Haal Hoga Mere Baad

Kabhi parh to sahi meri aankhon ko

Image
Kabhi parh to sahi meri aankhon ko Yahan darya behta hai teri mohabbat ka

Kia Khazane Meri Jaan HiJar Ki Shab Yaad Aaye

Image
Kia Khazane Meri Jaan HiJar Ki Shab Yaad Aaye Teri AanKhein Tere Gessu Tere Lab Yaad Aaye Phool Khilne Ka Jo Musam Mere Dil Mein Uttra Tere BakhShe Hoye Kuch Zakham Ajab Yaad Aaye Aik To Tha JiSe Ghurbat Mein Pukara Dil Ne Warna Bichre Hoye Ahbaab To Sab Yaad Aaye Ham Ne Mazi Ki Sakhawat Par Jo Pal Bhr Socha Dukh Bhi Kia Kia Hamein Yaroon K Sabab Yaad Aaye Bhool Jane Mein Woh Zalim Hai Bala Ka Mahir Yaad Aane Pe Bhi Aaye To Ghazab Yaad Aaye Ab To Aankhon Mein Kuch Dhool Hai Beeti Hoi Yadoon Ki Hum Usay Yaad Bhi Aaye Hain To Kab Yaad Aaye

Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye

Image
Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye Warna rah geer ko jane ki ijazat di jaye Is qadar zabt meri jan bhi lay sakta hai Kam se kam ashk bahane ki ijazat di jaye Kaar e duniya mujhe majno nahi banna lakin Ishq men naam kamane ki ijazat di jaye Kuch madawa he nahi gham k ilawa gham ka Zeher men zeher milane ki ijazat di jaye Doughlay pan ka hunar seekh lia hai maine Ab mujhe sheher men ane ki ijazat di jaye

Mujhe Maloom Hai Mera Muqaddar Tum Nahi Lekin

Image
Mujhe Maloom Hai Mera Muqaddar Tum Nahi Lekin Meri Taqdeer Se Chup Kar Mujhe Ek Bar Mil Jao

Khud Apne Dil Mein Kharashein Utaarna Hon Gi

Image
Khud Apne Dil Mein Kharashein Utaarna Hon Gi Abhi To Jaag K Raatein Guzaarna Hon Gi Tere Liye Mujhe Hans Hans K Bolna Ho Ga Mere Liye Tujhe Zulfein Sanwarna Hon Gi Teri Sada Se Tujhi Ko Taraashna Ho Ga Hawa Ki Chaap Se Shaklein Ubharnna Hon Gi Abhi To Teri Tabiyat Ko Jeetney Ke Liye Dil o Nigah Ki Shartein Bhi Haarna Hon Gi Tere Wisaal Ki Khwahish Ke Taiz Rangon Se Tere Firaaq Ki Subhein Nikharna Hon Gi Yeh Shayari Ye Kitabein Yeh Aayatein Dil Ki Nishaniyan Ye Sabhi Tujh Pe Waarna Hon Gi ??? ???? ?? ??? ?????? ?????? ??? ?? ???? ?? ??? ?? ????? ?????? ??? ?? ???? ??? ???? ??? ??? ?? ????? ?? ?? ???? ??? ???? ????? ??????? ??? ?? ???? ??? ?? ???? ?? ?????? ?? ?? ??? ?? ??? ?? ????? ??????? ??? ?? ???? ?? ???? ????? ?? ????? ?? ??? ?? ? ???? ?? ????? ??? ????? ??? ?? ???? ???? ?? ????? ?? ??? ????? ?? ???? ???? ?? ????? ??????? ??? ?? ?? ????? ?? ?????? ?? ????? ?? ?? ??????? ?? ???? ???? ?? ????? ??? ??

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai

Image
Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai Mujh Ko Mere Hi Khayalon Mein Sadaa Deta Hai Wo Mera Kon Hai Maloom Nahi Hai Lekin Jub Bhi Milta Hai To Pehlu Mein Jaga Deta Hai Main Jo Andar Se Kabhi Toot Ke Bikhron Wo Mujh Ko Thamne K Liye Hath Barha Deta Hai Main Jo Tanha Kabhi Chupkay Se Bhi Rona Chahon To Dil Ke Darwaze Ki Zanjeer Hila Deta Hai us Ki Qurbat Mein Hai Kya Baat Na Jaanay Ek Lamhay K Lye Sadiyon Ko Bhula Deta Hai ??? ???? ?? ???? ???? ??? ???? ?? ??? ?? ???? ?? ?????? ??? ??? ???? ??  ?? ???? ??? ?? ????? ???? ?? ????  ?? ??? ???? ?? ?? ???? ??? ??? ???? ?? ??? ?? ???? ?? ???? ??? ?? ?????? ?? ???? ?????? ?? ??? ???? ???? ???? ??  ??? ?? ???? ???? ???? ?? ??? ???? ?????  ?? ?? ?? ?????? ?? ????? ??? ???? ??  ?? ?? ???? ??? ?? ??? ??? ?? ???? ???? ??? ???? ?? ??? ????? ?? ???? ???? ??

Ghar ko chora hai khuda jane kahan jane ko

Image
Ghar ko chora hai khuda jane kahan jane ko Ab samajh lijiye tota howa Tara mujh ko ??? ?? ????? ?? ??? ???? ???? ???? ?? ?? ???? ????? ???? ??? ???? ??? ??

Tumhain zaror koi chahaton se dekhe ga

Image
Tumhain zaror koi chahaton se dekhe ga Magar wo aankhein hamari kahan se laye ga ????? ???? ???? ?????? ?? ????? ?? ??? ?? ?????? ????? ???? ?? ???? ??

Phir aaj dekhne aayein gay log beti ko

Image
Phir aaj dekhne aayein gay log beti ko Phir aaj Karb se mujh ko guzara jaye ga ??? ?? ?????? ???? ?? ??? ???? ?? ??? ?? ??? ?? ??? ?? ????? ???? ??