Beshak Na Mere Sath Safar Ikhtiyar Kar

Beshak Na Mere Sath Safar Ikhtiyar Kar
Aye Mere Bad Gumaan Mera Aitbar Kar

Woh Khud To Titliyon Ko Liye Ghoomta Raha
Aur Mujh Ko Khat Mein Likhta Raha Intizar Kar

Ab Un Kay Qafilay To Kahin Door Ja Chukay
Jin Ki Talab Mein Aaye Thay Sehra Guzaar Kar

Mein Ne To Tere Hijar Ka Dukh Jhail Hi Liya
Ab Tu Bhi Khud Ko Waqf e Raah e Intezaar Kar

Kab Ho Saki Hai In Ki Samandar Se Dosti
Mitti Kay In Gharondon Pe Kam Inhisar Kar

Fursat Miley To Dekh Mere Dil K Aainey
Aankhon Se Apney Kaaghazi Parday Utaar Kar

Comments

Popular posts from this blog

Pyaasa Hussain ko kahoon itna to bay adab nahin