My Shayari


                Usne chhoo kar mujhe patthar se phir insan kiya

               Muddaton baad meri aankh me aansoo aaye


                               -----------------------------------------------------------

Izhar-e-Tamanna Hi Toheen-e-Tamanna hai - 2 line poetry

Izhar-e-Tamanna Hi Toheen-e-Tamanna hai "Furqan"
Tum Khud hi Samajh Jao, Me Naam Nahi loongi...
-------------------------

Ab wafa se mukar gya hai Dil,
Ab Mohabbat se dar gya hai Dil,
Ab Sahaaron ki baat mat krna,
Ab Dilason se bhar gya hai Dil,
Jab Bulate thy zinda dil thy hum,
Ab na aao k mar gya hai Dil..!
Ab wo pagal pan na wehshat hai "Furqan"
Chot kha kha kar Sambhal gya Hai Dil...!
---------------------------------

Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko - 2 line urdu poetry

Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko "Furqan"
Aisy jalte hain wafaon ko nibhane wale......!
--------------------------------

Ajab Rasam Hai Carah Garon Ki Mehfil Ki - Zulm Shayari

Ajab Rasam Hai Carah Garon Ki Mehfil Ki,
Laga Ke Zakhm, Namak Se Misaj Karte Hain...
Ghareeb Shahar Tarasta Hai ik Nawale Ko "Furqan"
Ameer Shehar Ke Kutte Bhi Raaj Karte Hain...!
-------------------------------------

Ye iltija hai ke aankhon me basa lo ham ko,

Ye iltija hai ke aankhon me basa lo ham ko "Furqan"
ham bhi sajh jayn ge, tum bhi sanwar jaoge...
------------------------------


Kabhi jo thak jana tum duniya ke mehfilo se
"Furqan"
Mujhe awaaz dena mai aksar akela hota hu
-------------------------------


Hue jis par meharban tum khushnaseeb hoga
"Furqan"
Meri hasrate to nikli mere aansuo me dhal kar
-------------------------------


Kabhi Mujhko Saath Leke, Kabhi Mere Saath Chal ke
"Furqan"
Woh Badal Gaye Aahanak Meri Zindagi Badal Ke
--------------------------------


Intezamat Naye Sire Se Sambhale Jayen
Jitne Kamzarf Hain Mehafil Se Nikle Jayen
Mera Ghar Aag Ke Lapaton Mein Chupa Hai Lekin
Maza To Jab Hai"Furqan" Tere Aangan Mein Ujale Jayen
---------------------------------


Apni tabahiyon ka mujhe koi gam nahin
"Furqan"
Tumne kisi ke saath mohabbat nibha to di
------------------------------



Dhoond Ke Har Naye Bahaane Ko
Hum Hi Milte Hain Kya Sataane Ko
Neend Me Choom Kar Ho Tum Jaati
Kya Kahen Tere Aise Aane Ko
Jo Suna Haarte Hain Ishq Me Sab
Hum Bhi Taiyaar Aazmaane Ko
Jab Salamat Hain Haath-Paaun Mere
Chahiye Aur Kya Kamaane Ko
Chot To Jaan-Boojh Kar Khaayi
Kaun Kehta Hai Dil Lagaane Ko
Chhod Jaayenge Jab Zamaana Hum"Furqan"
Yaad Aayenge Is Zamaane Ko
----------------------------------


Umar bhar ki chahton ka khwab ankhon me liye
"Furqan"
Tum bhi bichar jaoge ek din auron ki tarah
---------------------------------



Hamari zaat bigadti hai ya sanwarti hai
Tujeh bhula k bhi dekhaiNge kya guzarti hai
Mile jo maut to ab usko zindagi bakhshuN 
Ye zindagi to mere sath roz marti hai
---------------------------------

Isi khayal se palkon pe ruk gae aansu
"Furqan"
Teri nigaah ko shayad subut-e-gham na mile
----------------------------------


Itni qasme kha baitha hoon itne waade tod chuka
"Furqan"
Ab khud se bhi milne ki khatir bhes badalna padta hai
-----------------------------------


Khud ko manwane ka mujhko bhi hunar aata hai
Main wo qatra hoon samandar mere ghar aata hai
Tumhare husn ki tafseel kaun batlaye "Furqan"
Jo dekhta hai wo aankhon me doob jata hai
---------------------------------


Ek Kahaani Si Dil Par Likhi Rah Gayi
Woh Nazar Jo Mujhe Dekhti Rah Gayi
Log Bazaar Me Aake Bik Bhi Gaye "Furqan"
Meri Qimat Lagi Ki Lagi Rah Gayi
-----------------------------------


Shukr guzar tumhara hoon mai
Jo kahte hain maan rha hoon

Tuhi mera damsaaz hai "Furqan"
Tujh se hi anjan raha hoon

Jaan jigar ho jaan rha hoon
Mai tumko pahchan rha hoon

Lage hain chup ke aise pahre
Jaise sab kuch jaan rha hoon


-------------------------

Raat thi mahtab tha jugnu the taare the magar
.
.
Tum nhi the "Furqan" to badi afsurdgi thi paas me


--------------------------


Comments

Popular posts from this blog

Pyaasa Hussain ko kahoon itna to bay adab nahin