Posts

Rahe mehroom hum ye soch kar unchi urahno se

Image
Rahe mehroom hum ye soch kar unchi urahno se Hamare jisam ka parr se taluk toot na jaye Aata mat kijiyo mujh ko jo main ne tujh se manga hai Mere sar ka tere darr se taluk toot na jaye

Teri Awaz se pathar bhi pighal sakta hai

Image
Teri Awaz se pathar bhi pighal sakta hai Tu wo lamha hai jo sadyon ko nighal sakta hai Mujh se mat poch mere dil ki lagi ka aalam Mere ashqon se tera haath bhi jal sakta ahi

Teri meri yehi ek pehchan hai

Image
Teri meri yehi ek pehchan hai Main teri jaan hoon tu meri jaan hai Kia meri jhopri kia ye tera mehal Main bhi mehman hoon tu bhi mehman hain

Roshni ka kuch na kuch imkaan hona chahiye

Image
Roshni ka kuch na kuch imkaan hona chahiye Band kamre mein bhi roshandan hona chahiye Wo jo anparr hain chalo hewan hain to theek hain Hum paray likho ko to insaan hona chahiye Hindo muslim chahe jo likha ho mathe par magar Aap k seenay pe hindustan hona chahiye

Deepak jugnu chaand sitaare ek se hain

Image
Deepak jugnu chaand sitaare ek se hain Yani sare dard k mare ek se hain Darya hoon mein bhed bhao ko kia jano Mere liye to dono kinare ek se hain Jis k dil mein tu hai Maula us k liye Mandir Masjid Aur Gurdware ek se hain

Phoolon ne diye zakham to kanton se gila kia

Image
Phoolon ne diye zakham to kanton se gila kia Kia karna tha apno ne salok aur kiya kia Jab haath mein shesha tha na sagar na meena Gar dil nahi toota hai to phir chaan se gira kia Tum ne jo mehakte howe ye sher kahe hain Phir kocha e jana se koi zakham mila kia Wo pochte phirte hain mere baray mein sab se Ek mera bhi shayar hai usay tumne suna kia Chale the aana thi k wo gehrat thi k kia tha Jab farash tha makhmal ka to talwon mein chobha kia

Sheron mein kiraye ka makaan dhond rahe ho

Image
Rone ki saza hai na rulane ki saza hai Ye dard mohabbat ko nibhane ki saza hai Sheron mein kiraye ka makaan dhond rahe ho Ye gaon ka ghar chor k aane ki saza hai