Aate hain aane do ye toofaan kya le jaayen ge Main to jab darta k mera hausla le jaayen ge Jis zameen par main khara hoon wo meri pahchaan hai Aap aandhi hain to kya aap mujh ko urh le jaayen ge Aap bas kirdaar hain apni hade pahchaniye Warna phir ek din kahaani se nikaale jaayenge
Tu samajta hai k rishton ki dhohai denge Hum to wo hai jo tere chahre se dikhai denge Hum ko mehsos kia jaye hai khushbo ki tarhan Hum koi shorr nahi hain jo sunai denge Faisla likha howa rakha hai pehle se khilaf Aap kia khaak aadalat mein safai denge
Lagta to bekhabar sa hun lekin khabar mein hoon Teri nazar main hoon to main sab ki nazar mein hoon Manzil ki wo kahin jinhe manzil ki ho talab Mujh ko yehi bohat hai teri rehguzar mein hoon
Haadso ki zad pe hain to kya muskurana chor dein Zalzalon ke khauf se kya ghar banana chor dein Tumne mere ghar na aane ki Qasam khaayi to hai Aansuyo se bhi kaho aankho mein aana chor dein pyaar ke dushman ek baar pyaar se keh k to dekh Aik tera dar hi kya hum to zamaana chor dein Dard mandi k sabhi rishte dhare reh jayenge Aansuyo ka bojh agar palken uthaana chor dein Baarishen deewar dho dene ki aadi hain to kya Is khauf se hum tera chehra banana chor dein