Posts

Meri Qismat mein ghum agar itna tha

Image
Meri Qismat mein ghum agar itna tha Dil bhi ya Rab bohat diye hote

Jo ujalon mein kho jayein

Image
Jo ujalon mein kho jayein Taaq raton mein bhi mila nahi karte

Wo saray jahaan ki khushiyan

Image
Wo saray jahaan ki khushiyan Wo tera mujhe humsafar kehna

Bas yehi soch k har bar manata hon usay

Image
Meri hasrat k janazy ko uthany waly Kitny be dard hain ye log zamany waly Koi apna nahi matlab ki hai duniya sari Ab kahan milty hain wo yar purany waly Main dua go hoon sada neendein hon mubarik tujh ko Hijar ka dard mujhe de k jagany waly Bas yehi soch k har bar manata hon usay Lot k aaty nahi rooth k jany waly Hamary dil main kabhi jhaank k daikho to sahi Kitny afsurda hain auron ko hansany waly

Jhoot chere pe sajana nahi aaya mujh ko

Image
Jhoot chere pe sajana nahi aaya mujh ko Zindagi tujh ko batana nahi aaya mujh ko Reh k duniya mein bhi seeki nahi duniya dari Kar k ehsan jatana nahi aaya mujh ko Duniya theater hai to nakam adakar hoon main Koi kirdar nibhana nahi aaya mujh ko Eik hi shaks ki khowaish mein raha sarkardan Darbadar khak uraana nahi aaya mujh ko Lutf to tab tha wo khud karta mohabbat mehsos Keh kar ehsas dilana nahi aaya mujh ko Kuch to ye dil bhi hai tanhai pasand aur is par Umar bhar dost banana nahi aaya mujh ko Tu samajta hai main tark e talluk se hoon khush Rothne wale manana nahi aaya mujh ko

Adalat se bache lekin Khuda se bach nahi sakta

Image
Adalat se bache lekin Khuda se bach nahi sakta Koi gustakh e paigambar Saza se bach nahi sakta Farishta Moat ka eik roz usko dhoond hi le ga Kahin bhi ja k chop jaye Qaza se bach nahi sakta

Khamosh lab hain jhuki hain palkeen

Image
Khamosh lab hain jhuki hain palkeen dilon mein ulfat nayi nayi hai  Abhi takalluf hai guftgoo mein  abhi mohobat nayi nayi hai  Abhi na aayegi nennd tum ko  abhi na hum ko sukon mile ga  abhi to dharke ka dil zeyada  abhi ye chahat nayi nayi hai  Bahar ka aaj pahla din hai  chalo chaman mein tehl k aayen  faza mein khushbo nayi nayi hai  gulon pe rangat nayi nayi hai  Jo khandani raees hain wo  mizaaj rakhte hain narm apna  tumhara lehja bata raha hai  tumhari dolat nayi nayi hai  zara sa Qudarat ne kya nawaza  aa k baithy ho pehli saff mein  abhi se urrny lagy hawa mein  abhi to shohrat nayi nayi hai