Posts

Two Lines Poetry, Chal Dost. Kisi Anjan Basti Main Chalay

Image
Chal Dost. Kisi Anjan Basti Main Chalay Es Nagar Main Tu Sabhi Hum Se Khafa Rehte Hay.

Two Line Urdu Poetry, Barri Belagam Si Hogai Hay Meri Aankhain,

Image
Barri Belagam Si Hogai Hay Meri Aankhain Teri Deed k Musalsal Bahanay Dondthi Hay.

Urdu Ghazal Poetry, Hawa ki zad mein jo aa gaye the woh aasheyany bikharty dekhy,

Image
Hawa ki zad mein jo aa gaye the woh aasheyany bikharty dekhy Kahen pe aoraq reza reza kahen pe alfaz marty dekhy Yon raz-e-hasti samjh mein aya fasana jan ka silsala bhi Jo khasta peron ki tehneyon se khizan mein paty bicharty dekhy Guzaar do zabt ki sabelon pe shidat gham ki talkheyon ko Yeh zakham kya waqt ke saharon pe sookhy darya bhi bharty dekhy Tumhara mera to silsala bas zara si mudat ka silsala hai Woh log kesy the jo mohabbat mein had se aagy guzarty dekhy Yeh qismaton ka fatoor hai jo azal se thehra hoa hai ab tak Hein sabza zaron mein pair aisy keh jin se panchhi bhi darty dekhy Tery badalny pe kya gila jab mujhy kabhi tum mily nahin ho Main ne sar-e-dhoop rah mein aksar badan se saey bicharty dekhy Yeh sal-e-no phir azeeyaton ka piyam laya hai mery ghar mein Keh rat kamry ki seehreyon jo main ne saey utarty dekhy Khuda kary khair ho Aqeel ab main jag betha hon jis se dar kar Woh khawab kya tha keh aag ki zad mein shehr sary jalty dekhy.

Urdu Ghazal, Bas Meri janib do qadam kar ke chaly jana,

Image
Bas Meri janib do qadam kar ke chaly jana Palat kar dekhna phir aankh nam kar ke chaly jana Kisi ko rokna to door sada tak nah de sakon Meri is bebasi ka tum bhi gham kar ke chaly jana Yahan ab koi nah aye yeh andheron ki basti hai Mery dilbar mery dil par raqm kr ke chaly jana Faqt ik bewafai hi nahin keh ab talak mujh se So mery sath tum yeh bhi sitm kar ke chaly jana Abhi tak phir milen ge keh nahin paye ho tum mujh se Meri jaan yeh hai rukhsat ki rasm kar ke chaly jana Jo kehti hein keh main tum se dobara mil nah pain gi Lakeeren woh mery hathon se kam kar ke chaly jana Tumhary baad to jeeny ka tasawar nahin baqi Dafn tum bhi mujhy meri qasm kar ke chaly jana.

Ghalib Poetry

Image
Buss Khatam Kar Yeh Baazi Ishq 'Ghalib' Muqdar Ke Haare Kabhi Jeeta Nahi Karte.

Two Line Images Poetry,

Image
Manzilain Unn Ko Milla Kartee Hein Jin Ka Shaivaa Ho Fareeb   Hum Nay Tu Daastaan-e-Sadqat Me Luttaa Deee Zindagi Apni.

Two Lines Poetry,

Image
Uss Kaa Mayaar Abhi Mujh Say Judaa Hai Lekin    Vo Bhi Bikhray Gaa To Ho Jaaye Gaa Meray JaiSaa.