Posts

Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena

Image
Raaz jo kuch ho ishaaron mein bata bhi dena Haath jab usse milana to dabaa bhi dena Wese is khat mein koi baat nahi hai phir bhi Ahtiyatan isay parh lo to jala bhi dena

Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska

Image
Kabhi akele mein milkar jhanjhor dunga use Jahan jahan se wo toota hai, jorr dunga use Mujhe wo chorr gaya ye kamaal hai uska Iraada maine kiya tha ke chor dunga use Paseene baantta phirta hai har taraf sooraj Kabhi jo haath laga to nichor dunga use Bacha ke rakhta hai khud ko wo mujhse sheesha badan Use ye darr hai ke main tor porr dunga use Maza chakha ke hi maana hun main bhi duniya ko Samajh rahi thi ke aise hi chhor dunga use

Kabhi dimag kabhi dil kabhi nazar mein raho

Image
Kabhi dimag kabhi dil kabhi nazar mein raho Ye sab tumhare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho

To phir yakeen se aage bharam nikal jaye

Image
To phir yakeen se aage bharam nikal jaye Hawa na ho to charagon ka dum nikal jaye Hum ahl e dil ko hiqaarat se dekhne wale Khuda kare teri gardan ka kham nikal jaye Mujhe to maar hi daale ga khaalipan mera Jo dil se teri judaai ka gam nikal jaye

Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage

Image
Andhere chaaro taraf saayen saayen karne lage Charaagh haath utha kar duayein karne lage Saleeka jin ko sikhaya tha humne chalne ka Wo log aaj humein daayen baayen karne lage Lahu-luhaan pada tha zami par ek suraj Parinde apne paro se hawaayein karne lage Zami par aa gaye aankhon se toot kar aansu Buri khabar hai farishtey khatayein karne lage Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar Ye sab mareez hain jo ab dawayein karne lage Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi Safedposh uthe kaayein kaayein karne lage

Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye

Image
Is se pehle ke hawa shor machane lag jaye Mere Allah meri khaak thikane lag jaye Ghere rehte hain kai khwaab meri aankho ko Kaash kuch der mujhe neend bhi aane lag jaye

Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai

Image
Apne haathon ko wo patwaar bhi kar sakta hai Hausla hai to nadi paar bhi kar sakta hai Jurm khud karna aur ilzaam kisi par dharna Ye naya nuskha hai bimaar bhi kar sakta hai Ek huqumat hai jo inaam bhi de sakti hai Ek kalandar hai jo inkaar bhi kar sakta hai Dhundta phirta hai tu der-o-haram mein jisko Moond le aankh to deedaar bhi kar sakta hai Jaagte rahiye ki awaaz lagaane wala Lootne walo ko hoshiyaar bhi kar sakta hai