Posts

1920 Evil Returns Poetry

Image
Har waqt Har kahin hai... bas wo yahin, nahe hai... Dar sai dara dara hai, Usko yaqeen nahe hai. Wo chahta hai apna har gham kahin chop aana, Par raah mai khara hai guzra hua zamana, Khud hai wo baikhudi mai Par janti hai wo os ko, Paihchan khud ki gum hai, paihchanti hai os ko, os ny bhi koh deya hai khud ko, to kya hua hai aik ajeeb sa Apna ab os ko mil gaya hai... Aihsaas aisa kyun hai, Kya mujh mai khaas sa hai, Kya mairy khali pan mai, Koi aks dikh raha hai....

Ye Do Kinaray To Darya K Ho Gaye Hum Tum

Image
Ye Do Kinaray To Darya K Ho Gaye Hum Tum Magar Wo Kon Hai Jo Teesra Kinaara Hai

koi to us py qayamat guzar gai ho gi

Image
Lagi thi umer parindon ko ghar banate howe kisi ne kyon nahi socha shajer giraate howe main gir gaya kisi khai main larkhrate howe  tu dekhta hi raha mujh ko muskraate howe ye zindgi thi k dhutkarti rahi mujh ko main baat kerta raha is se muskraate howe badan tha choor mera hijar ki mushaqat se  k so gaya tha main khud derd ko sulate howe koi to us py qayamat guzar gai ho gi   k aap beeti wo rone laga sunaate howe ajeeb neend main tha khawab gaah e hasti ki main is jahan se tere us jahan mein jaate howe kahni goo ke har lafaz main thi jadugari  rula deya tha har shakhas ko hansaate howe main jal uthata tha tere hi khayal ki lo se tujhe khayal na aaya mujhe bujhaate howe na meri chasham e tamanna main jach saki dunya  palat ke dekhta kaise usay main jaate howe

Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata

Image
Benaam sa ye dard thehar kyon nahin jata jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jata Sab kuch to hai kya dhondhti rehti hain nigahen kya baat hai main waqat pe ghar kyon nahin jata Woh ek hi chehra to nahin saare jahaan mein jo door hai woh dil se utar kyon nahin jata Main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha jate hain jidhar sab main udhar kyon nahin jata Woh khwaab jo barson se na chehra na badan hai woh khwaab hawaaon mein bikhar kyon nahin jata

Yon mere dil k barabar tera ghum aaya hai

Image
Yon mere dil k barabar tera ghum aaya hai Jaise sheshay k mukabil koi pathar jana

Apne sannaton mein dooba ek goonga aadmi

Image
Apne sannaton mein dooba ek goonga aadmi Dil ki masjid mein azaan dekar bilaali ho gaya

Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna

Image
Khoon aankhon ke charaagon mein chhupa lo warna Teergi shaher se rukhsat nahin hone wali Saath chalna hai to talwaar uttha meri tarah Mujhse buzdil ki himaayat nahin hone wali Ab k jo faisla hoga wo yahin par hoga Hum se ab doosri hijrat nahin hone wali