Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi
Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi Main Apane Haath Se Us Ki Dulhan Sajaungi Supurd Kar Ke Use Chaandani Ke Haathon Mein Main Apane Ghar Ke Andheron Mein Laut Aongi Badan Ke Karb Ko Woh Bhi Samajh Na Payega Main Dil Mein Roungi Aankhon Mein Muskuraungi Woh Kyaa Gayaa Ke Rafaqat Ke Saare Lutf Gaye Main Kis Se Routh Sakuungi Kise Manaungi Woh Ek Rishtaa E Benaam Bhi Nahi Lekin Main Ab Bhi Us Ke Ishaaron Pe Sar Jhukaungi Bichha Diya Tha Gulaabon Ke Saath Apana Wajood Woh So Ke Uthe To Khwaabon Ki Raakh Uthaungi Ab Us Ka Fan To Kisi Aur Se Manasob Hua Main Kis Ki Nazm Akele Men Gun Gunaungi Javaz Dhuundh Raha Tha Nai Muhabbat Ka Woh Keh Raha Tha Ke Main Us Ko Bhool Jaungi